Isee Tarah Aankhon Se Huzur Paak Ka Chehra
Mubarak, Quran Karim, Aur Qudrat Ke Namoone, Aur Moajzat Dekhe Jaate Hain Yahi
Wajah Hai Ke Kaan Ko Aankh Se Pehle, Aur DILL Ko In Donon Uzu Se Pehle Bayan
Farmaya-Ke DILL Insaani Uzu Ka Badshah Hai-TABLIGH Aksar Kaan Aur Zabaan Ke
Zariye Se Hoti Hai- Ke Nabi Salallaho Alehe Wasallam Se Farman Soone Aur Logon
Se Bayan Kiye Jaate Hain-
Thursday, March 24, 2016
Tafseer Ayat 7- Surek Al-Baqrah Urdu
KHATAMA-ALLAHO AL’A QULOOBEHIM
WA AL’A SUM’EHIM
WA AL’A ABSAREHIM GHISHAWATUN-
WALAHUM AZABOON
AZEEM”(AYAT#7)-
(Allah Ne Oonke Dilon Par Aur Kaanon Par Mohar Kardi, Aur
Oonki Aankhon Par Ghata Top Hai-Aur Oonke Liye Bada Azaab----Tarjuma Kanzul
Imaan)-
KHATAMA ALLAHO AL’A QULOOBEHIM WA AL’A SAM’EHIM:
KHATAMA Ke Maani Hain Chhupana Ya Mohar Lagana ( Tanbih-Yahan
Urdu Lafz Nahi Samjha Jayega- Urdu Mein Khatam Ke Maani Huwe End) Shai Ko Mohar
Lagakar Pukhta Karne Ko Khatama Isliye Kaha Jaata Hai Ke Oose Aakhri Manzil Tuk
Pahunchakar Logon Se Chhupaya Gaya-
Friday, March 11, 2016
Kaafiron Kee Aqsaam-Sureh Al-Baqrah
Kaafir
Tamaam Kaafir Aise Na Thay Jinse Imaan Ki Ummid Nahi Thi-
Kai Kaafir Musalmaan Huwe-Lekin Is Ayat
Mein Mayoosi Ka Izhaar Farmaya Ja Raha Hai- Ulma’a Kraam Farmate Hain Ke Yahan
Kaafir Se Muraad Woh Kaafir Hain Jo Apni Zidd Aur Be-Ilmi Ki Wajah Se Kafir
Rahe-Aur Baaz Shubhaat(Doubts) Ki Wajah Se Ke Agar Inki Be-Ilmi Aur Shubhat
Door Kar Diye Jayen To Inse Imaan Ki Ummid Hai-LekinBaz Log Aise Hain Jo
Hut-Dharmi Aur Jaan Boojh Kar Samajh Ke Bhi Imaan Nahi Laate-Jaise Iblees
Hazrat Adam Aleh Salam Ke Hasad Ki Wajah Se Kaafir Huwa Jo Rubb Ka Hukm Soon
Kar Aur FarishtonKo Sajdah Karte Dekhkar Bhi Imaan Na Laya-
Wednesday, March 9, 2016
Hudan Min Rabbehim
OOLAIKA ALA HUDAN MIN RABBEHIM WA OOLAIKA HUMUL MUFLEHOON-
(WAHI LOG APNE RUBB KI TARAF SE HIDAYAT PAR HAIN AUR WAHI MURAD KO PAHUNCHNE WALE)-
Ye Ayat Pehle Ayat Ka Natija Hai- Kis Tarah?
Pehle Aamal Ka Zikr Huwa Ab Anjam Ka- Ke Jin Logon Mein Pehle Bayan Kee Huwi Sifaten Hon Unka Ye Anjam, Anjam Khair Hai- Subhan Allah- Ke Woh Hidayat Par Hain
Subscribe to:
Posts (Atom)