Friday, March 11, 2016

Kaafiron Kee Aqsaam-Sureh Al-Baqrah

Kaafir

Tamaam Kaafir Aise Na Thay Jinse Imaan Ki Ummid Nahi Thi- Kai Kaafir Musalmaan Huwe-Lekin  Is Ayat Mein Mayoosi Ka Izhaar Farmaya Ja Raha Hai- Ulma’a Kraam Farmate Hain Ke Yahan Kaafir Se Muraad Woh Kaafir Hain Jo Apni Zidd Aur Be-Ilmi Ki Wajah Se Kafir Rahe-Aur Baaz Shubhaat(Doubts) Ki Wajah Se Ke Agar Inki Be-Ilmi Aur Shubhat Door Kar Diye Jayen To Inse Imaan Ki Ummid Hai-LekinBaz Log Aise Hain Jo Hut-Dharmi Aur Jaan Boojh Kar Samajh Ke Bhi Imaan Nahi Laate-Jaise Iblees Hazrat Adam Aleh Salam Ke Hasad Ki Wajah Se Kaafir Huwa Jo Rubb Ka Hukm Soon Kar Aur FarishtonKo Sajdah Karte Dekhkar Bhi Imaan Na Laya-
Kalaam Ka Asar Kalaam Karne Wale Ke Hukm Se Hota Hai-“ISHQ MUSTAFA DILL MEIN KUFR AANE NAHI DETA- ADAWAT-E-MUSTAFA(Salallaho Alehe Wasallam) DILL MEIN IMAAN AANE NAHI DETI- Doosre Apne Kaafir Baap Dadon Ki Himayat, Ke Oonki Baat Manenge-Teesre Khood Oos Rahbar Ke Farman SE ZIdd Jo Imaan Ki Dawat De Raha Hai-Ye Teenon Qism Ke Ziddi Log IMAAN SE Mehroom Hain-
SAWA’A Ke Maani Hain Barabar Ke, Ke Aap Ka Kaafiron Ko Darana Aur Na Darana Donon Barabar Hai-
Jiske Liye Jawani Budhapa, Tandrusri Beemari, Aarama Aur Taklif, Zaahir Aur Chhupa Huwa Gunah Barabar Hon Yaan Har Haal Mein Gunah Kare Oos Ke Liye Khouf Hai Ke Mout Ke Waqt Touba Karna  Aur Na Karna Barabar Ho- Allah Walon Se Milna Na Milna Barabar Ho- Shafa’at Hona Na Hona Barabar Ho-
(Tafseer Taiseer)-

ANZARTAHUM 

 Anzaar Se Bana Hai Jiske Maani Hai Khatarnak Cheez Ki Ittela Dena, Khabar Dena  Yaani Darana-NABI Darate Bhi Hain Aur KhooshKhabri Bhi Dete Hain Isee Liye Unhen NAZEER Aur BASHEER Kaha Jata Hai-Is Ayat Mein Faqat Darane Ka Zikr Farmaya Gaya Lekin Basharat Ka Nahin-Jub Kaafir Darane Ki Hudd Se Nikle Hi Nahin To Unhen Basharat Kaisi?
LA-YU”AMENOONA Mein GHAIB Ki Khabar Hai Aur Ye Khabar Bilkul Sachchi Saabit Huwi Ke Aakhir Kaar Woh Imaan Nahi Laye-
SUFYAA KRAAM Farmate Hain LAfz INSAAN “UNS” SE BANA Hai Jiske Maani Hai MOHABBAT  Kyunki Insaan Har ANEES Saathi Ka Asar Bahut Jaldi Leta Hai Isliye Oose Insaan Kehte Hain- Lehaza Agar Insaan Ke Saathi Achche Huwe To Insaan Bhi Achcha, Bure Saathi Se Insaan Par Bura Asar-

Insan Ko “ NAAS’ Bhi Kehte Hain Jiske Maani Hain BHOOLNE WALA Ye Bhi Shaitan Ki SOHBAT Aur Dunya Ke Maidan Mein Aakar Allah Ko Bhool Jate Hain-Nez SUFYA KRAAM Farmate Hain Ke Rooh Do Cheezon Ko Dekhti Hai- Ek To Dunya Ko Doosre Aakhirat Ko – Dunya Ko Dekhna AANKH, NAAK KAAN Waghaira Se Jise ROZNON Kehte Hain-Aur AAKHIRAT Ka Dekhna Khufya ROZNON Se Hai-Jo Insaan Har Waqt Dunya Mein Mashghool(Busy) Rahega – Aakhir Kaar Aakhirat Ke ROZON Sub Bund Ho Jayenge- Jiska Ishara Quran Karim Mein Allah Taala Ka Ye Farman Hai”UM ALA QULOOBE AQFALEHA”- AQFAAL plural hai Qufl ka- jiske maani hain TAAL A-Aur Quloob Plural Hai Qulb Ka Jiske Maani Hain Dill- 

No comments:

Post a Comment