Wednesday, March 9, 2016

Hudan Min Rabbehim



OOLAIKA ALA HUDAN MIN RABBEHIM WA OOLAIKA HUMUL MUFLEHOON-

 (WAHI LOG APNE RUBB KI TARAF SE HIDAYAT PAR HAIN AUR WAHI MURAD KO PAHUNCHNE WALE)- Ye Ayat Pehle Ayat Ka Natija Hai- Kis Tarah? Pehle Aamal Ka Zikr Huwa Ab Anjam Ka- Ke Jin Logon Mein Pehle Bayan Kee Huwi Sifaten Hon Unka Ye Anjam, Anjam Khair Hai- Subhan Allah- Ke Woh Hidayat Par Hain
– Mere Buzurgo Dosto “hudan lil-muttaqeen” AUR Is “ Hudan Min Rabbehim” Mein Farq Karna Zaroori hai-Taaki AMAL Aur ANJAM Mein Farq Wazeha(Clear) Ho Jaye- Hudan Lil-Muttaqeen” Mein Saare Jamaat Muttaqeen Qayamat Tuk Ke Liye Hai- Sahaba Kraam Ajmaeen Razi Allah Taala Anhuma- Saare Momenin –Jinki Ye Siften Hain Woh Hidayat Par Hain- ALA HUDAN SE MURAAD Woh Tamaam Qism Ki Hidayaton Par Hain-Woh Is Raaste Par Chal Rahe Hain Jo “JAHANNUM SE BACHATA HUWA, JANNAT MEIN HOTA HUWA, ALLAH KE MEHBOOBON AUR MUQARREBIN SE MILATA HUWA, RUBB TUK PAHUNCHA DETA HAI” MIN RUBBEHIM: Mein Saaf Ishara Huwa ke jo Kuch Unhen Mila Hai Ye Unke Rubb Ke Karam Se Hai, Kyunki Saare “AAMAL ASBAAB HAIN- HAQQ TA’ALA MUSABBIB AL-ASBAAB”-Aur Allah Ke Karam Se Aamal Ke Baatil Karne Se Mehfooz Rahe- Wa Oolaika Humul Muflehoon : Mein Falah Aur Kamyabi Unhi Ke Liye Hain Jinka Imaan Mazboot Ho- Muttaqi Hon- Yahud Wa Nasara Ke Aamal Bhale Hi Achche Hon , Kuffar Aur Mushrekin Ke Aamal Kaise HI Aala Hon Oonke Khwab Ki Taabir Kabhi Poori Na Hogi- ISTELAH Mein Falah Ke Maani Hai KAMYABI-Maani Ye Huwe Ke Muttaqi Aur Parhezgar Log DUNYA, BARZAKH, aur AAKHIRAT Har JAGAH KAAMYAB HAIN”- HIDAYAT AUR KAMYAABI SE MURAAD” 1)Agar Dunya Ki Hidayat Aur Kaamyabi Hai To Ye Log Dunya Mein Achche AQIDON Par Hain Aur Achche Aamal Ki Toufiq Wale Hain- 2)Agar BARZAKH Ki Hidayat Wa FALAH Murad hai To MARTE Waqt HASAN Khatima, Qabr Ke Sawalat Jawabat Kee Hidayat Par Hain, Phir BARZAKHI Neamaton Se Kaamyab- 3)Agar Qayamat Kee Hidayat Wa FALAH Murad Hai TO Qayamat Mein Kamyabi- SUFYA KRAAM FARMATE HAIN: Kamyabi Ke Teen Anjaam Hain i)NAFA, DUNYA, Shaitan Aur Boore Saathiyon Par Ghaalib Rehna- ii)Kufr Gumrahi, Jahalat Aur Nafs Ke Dhoke, Shaitan Ke Waswason, , Qabr Ki Wahshaton, Qayamat Ki Wahshaton, Pool-e-Sirat Kee Wahshaton, Aur Jannat Kee Mehroomi, Aur Azab Kee Sakhtiyon Se Najat Paa Jana- iii)Abadi, Mulk aur Neamaton , Lazawal Rehmaton, Be hijab Mehboob Ko Paa Lena Haqq Taala Humko Naseeb Farmaye- Sufya Kraam Farmate Hain TARIQAT KA Raasta Nihayat Tez Sawari Hai, Aur Shariat Nihayat Mazboot Aur Ahtiyat Ki Sawari- Shariat Mein Phislan Kum Aur Raftar (Speed) Ahista Magar TARIQAT Mein Raftar Tez Aur Khatrat Zyada- CHUNANCHA MASNAWI SHARIF MEIN FARMAYA: YUK ZAMANA SOHBAT BA-AULIYA BEHTAR AST SUD SALA TA’AT BE-RIYA ALLAH WALON KI EK AAN SOHBAT 100 BARAS KI KHALIS IBADAT SE ZYADA NAFEA ( FAIDAMAND) HAI-NEZ SHARIAT MEIN APNE AAP SE JANA HOTA HAI AUR TARIQAT MEIN KISI AUR KI TARAF SE KASHISH- To Hudan Se Murad Shariat Par Chalna Hai Aur Falah Se Muead Rubb Ka Apni Taraf Kheenchna Hai-Sufya Kraam Farmate Hain Ke “JO SHAKHSH NAYK AAMAL KI AAG SE APNE WAJOOD KE HIJAB KO JALA DETA HAI, AUR DUNYA SE NIGAH PHER KAR, AAKHIRAT KA MUSHAHEDA KARTA HAI, TO OOSKO REHMAT RABBANI APNI TARAF IS TARAH JAZB KAR LETI HAI KE WOH REHMAT TAALIB AUR YE MATLOOB”-

No comments:

Post a Comment