Taauz

AUZU BILLAHE MINASH-SHAITANIRRAJIM:-
Mein Nikale Hue Shaitan Se Allah Ki Panah Chahta Hoon.
1) Tilawat se pehle ise kyun padhte hain? Ye Rubb Taala ka Hukm hai , Jub Tum Quran Padhne Lago To Nikale hue Shaitan se Allah Ki Panah Lo-
2)Huzur e Anwar Salallaho Alehe Wasallam, Sahaba Kraam Radi Allah Taala Anhum Ajmaeen, aur Umaat e Rasool hamesha ispar Amal karti rahi maaloom hua ke Tauz Padhna Sunnat hai-
3)Jis tarah ke Namaaz se pehle Wazu Zaroori hai ke jismaani Paleedi door karta hai aur Insaan ko qabil e Namaaz banata hai, isi tarah Tilawat se pehle A'auz padhna chahiye ke ye androoni Paleed ko door karta hai aur Zaban ko Quran Paak Ki Tilawat ke Qaabil banata hai-
TAFSIR "AUZU BILLAHE":-
Lafz Auz "Uz" Se Nikla hai aur Uz Ke Do Maani hain Ek Iltejah Karna, Panah Pakadna aur Doosra Milna-Pehle Maani ke Lehaz se iska matlub ye hoga ke mein panah pakadta hoon Iltejah karta hoon Allah se aur Doosre maani ki bina par ye matlub hoga ke mein apne Nafs ko Fazl e Ilahi aur Rehmat Ilaahi se milata hoon-
Lafz Allah Ki Khususiyat:-
Lafz ALLAH Rubb ki Zaat par dalalat karne mein Hurfon ka mohtaaj nahin.
1) Alif ko nikaal do to "LLah"(لله ) rehta hai, woh bhi zaat ko bata raha hai Allah ka farman hai "WA LLAH JUNUD ASSAMAWAT WAL-ARD"(ولله جنود السموات والارض ) .
2) Agar is ism ka pehla laam bhi nikal do to "Lah" (له ) ki shakl par rehta hai ye bhi isi Zaat ko bata raha hai Allah Taala Farmata hai "Lah ul Mulko wa lah ul Hamd"(له الملك و له الحمد ).
3)Agar doosra Laam bhi nikal den to faqat "H"(ه ) baaqi rehta hai woh bhi zaat ko zaahir kar raha hai, chunanche Allah Paak Ka Farmaan "LA ILAHA ILLA HOO"(لا اله الا هو).
Jis tarah se Allah ka Naam Kisi ka Mohtaaj nahin isi tarah Allah Ki Zaat Kisi Ki Mohtaaj nahin-
continue-