Friday, March 11, 2016

Sureh Al-Baqrah --Anzartahum

INN-ALLAZINA KAFARU SAWA’AUN  ALAIHIM ANZARTAHUM UM-LUM TUNZIRHOOM LAA YU’AMENOON.
(Beshak  Woh Jin Ki Qismat Mein KUFR Hai Unhen Barabar Hai Chahe Tum Unhen Darao Ya Na – Woh IMAAN Laane Ke Nahi)-
Yahan Is Ayat Ka Shaan-e-Nuzool Bayan Karna Zaroori Hai Ke Ghair Muqalledin  Mutashabehat Ka Ghalat Faida Uthate Hain Aur Aisi Ayaton Ko Musalmanon, Auliya Allah, Anbiya Par Chispan Karte Hain-
SHAAN-e-NUZOOL:
Ye Ayat e Karima Abu JAHAL , ABU LAHAB, Wa Ghairhum Kuffar Ke Haq Mein Naazil Huwi Jo Ilm Ilahi Mein Imaan Se Mehroom Thay – Aap Salallaho Alehe Wasallam Oonke Imaan Na Lane Se Ghamgeen Hote Thay- Tub Ye Ayat Naazil Huwi – -
TALLUQ- TAFSEER:
Agli Ayaton Mein Allah Taala Ke Maqbool Bandon Ka ZIkr Huwa, Ab Oon Ke Muqable Mein Mardoodon Ka Zikr Ho raha hai Kyunki Har Cheez Apne Muqabil(Opposite) Ke Zariye Pehchani Jaati Hai, Din Raat Se Pehchana Jaata Hai- Noor Zulmat Ke Zariye Se Khoob Zaahir Hota Hai-
Doosre Maqbool Bandon Ki Sifaton Ka Zikr Pehle Huwa Jin Se Unhon Ne Hidayat Aur Kaamyabi Payee- Aur Yahan Mardoodon Ki Sifaton Ka Zikr Ho Raha Hai Jinki Wajah Se Woh Hidayat Aur Kaamyabi Se Mehroom  Rahe-
 INNALLAZINA—Ishaara  Hai Abu Jahal, Abu lahab, aur Walid Ibn Mughaira Ki Taraf, ya aura aam Kuffar Jo Inki Tarah ZIDDI Aur HUT DHARM HON-
KAFARU’A- Kufr Se Bana Hai Jiske Maani Hai Chhupana, Dhakna- Shariat Mein Kufr Ke Maani Ye Hain Ke ALLAH KE WAJOOD, NABI KI NABUAT, MALAIKA KE WAJOOD, KITAB KA INKAR GHARZ JO DEEN KI ZAROORAT HAI OOSKA INKAAR KAR DENA KUFR HAI-Deen Ki Jis Zaroori cheez ko Maan Kar Insaan Musalman Hota Hai Ooska Inkaar Karke Kaafir Ho Jata Hai-
Quran Karim Mein Kufr Chaar Maani Mein Istemaal Huwa Hai
i)Imaan Ka Muqabil- Ke Khuda Taala Ko Jaane Hee Nahi, Jaise Ke Rubb Se Bekhabar-
ii)Inkaar Karna- Kufr Jamood---Ke Rubb Ko Dill Se Jaane Magar Zaban Se Aitraf Na Kare Jaise IBLEES Aur ZIDDI KAAFIR-
iii) Shukr Ka Muqabil(Opposite) Nashukri-Quran Mein Farman Ilahai  Washkuruli Wala Takfuroon-Ise Kufr ANAAD Kehte Hain Ke Dill Se Jane Kabhi Zaban Se Bol De Lekin Kisi Wajah Se Ooski Ata’at Na Kare-
iV)Kufr  NAFFAQ- Jaise Bezaari- Yakfir Baazkum Be-Baaz- Ke Zabaan Se Iqrar Kare Lekin Dill Mein Aitqad Na Ho—
Is Ayat Mein Pehli Qism Murad Hai-(Tafseer Rooh Al-Bayan)-

Jo Log Ayat Mutashabehat Ko Lekar Sahi Aqidatmandon Par, Auliyaon Par, Anbiyaon Par Chispan Karte Hain Woh Bud-tareen Makhlooq Hain- Alhamdulillah Ahl-e-Sunnat Wal Jamat Mazkoora Bala Chaaron Kufr Se Bari Hain- Allah Ko Maante Hain Zaban Se Iqrar Bhi Karte Hain Aur Dill Mein Aitqad Bhi Rakhte Hain-Anbiya Aur Auliya Allah Par Bhi Sabhi Ka Imaan Hai Aur allah Ki Kitab Par Bhi, Ghaib Kee Cheezon Par Bhi Ahl-e-Sunnat Wal Jamaat Ka Sab Se Zyada Imaan Hai-

No comments:

Post a Comment