KHATAMA-ALLAHO AL’A QULOOBEHIM
WA AL’A SUM’EHIM
WA AL’A ABSAREHIM GHISHAWATUN-
WALAHUM AZABOON
AZEEM”(AYAT#7)-
(Allah Ne Oonke Dilon Par Aur Kaanon Par Mohar Kardi, Aur
Oonki Aankhon Par Ghata Top Hai-Aur Oonke Liye Bada Azaab----Tarjuma Kanzul
Imaan)-
KHATAMA ALLAHO AL’A QULOOBEHIM WA AL’A SAM’EHIM:
KHATAMA Ke Maani Hain Chhupana Ya Mohar Lagana ( Tanbih-Yahan
Urdu Lafz Nahi Samjha Jayega- Urdu Mein Khatam Ke Maani Huwe End) Shai Ko Mohar
Lagakar Pukhta Karne Ko Khatama Isliye Kaha Jaata Hai Ke Oose Aakhri Manzil Tuk
Pahunchakar Logon Se Chhupaya Gaya-
Kuffar Ke Dilon Par Mohar Lagane Se Murad Ye Hai Ke Oonke
Dill Imaan Ko Qubool Nahi Karne Wale Aur Oon Mein Ek Aisi Hayt ( Form-) Moujud
Hai Jo Unhen Kufr Aur Gunahon Par Majboor Karti Hai- Chunanche Agli Ayat Mein
KUFFAR Ki Sifaat Bayan Kee Gayee Is Ayat Mein Kuffaron Ki Saza-
Yahan Kuffar Ke Aitraz Ka Jawab Aasan Ho Gaya- Jub Allah
Taala Ne Unke Liye Raahe Hidayat Aasan Kardi Bawajud Iske Unhon Ne Apni
Sarkashi Ki Wajah Se Khud Kufr Ka Raasta Chuna- Aur Allah Taala Ke Is Lutf wa Karam
Se Mehroom Ho Gaye-Woh Haqq Ko Manne Se Inkar Kar Rahe Hain Oonke Kaan Par
Mohar Lug Chuki Hai, Aur Haqq Qubool Nahi Karte-
Imaan Laane Ka Jo
allah Taala Ne Hukm Farmaya Hai Wo”AAMANTO BILLAHE WA RASOOLEHE” PAR HAI YAANI
ALLAH AUR OOSKE RASOOL PAR IMAAN LANE MEIN DAKHIL HAI-AUR Allah Taala Ka Farman
Hai”FAMA LAHUM LA YU’AMENOON” (Oonke Liye Kya Hai Ke Woh Imaan Nahi Laate)-Agar
Woh Imaan Laane Se Majboor Hote Ya Aajiz Hote To Unhen Khitab Na Hota- Yahi Log
Qayamat Ke Din Majboor Honge Apni Safayee Pesh Karne Se, Unke Munh Par Mohar
Lag JayegI- Aur Wahan Unhen Phir Allah Taala Ki taraf Se Koi Khitab Na Hoga-
Is Se Zaahir Huwa Ke Dunya Mein Insaan Ko Ikhtiyar Hai Chahe
Imaan Par Jiye Ya Kufr Par- Kuffaron Ko Dunya Mein Dilon Par Mohar Lagegi Aur
aakhirat Mein Munh Par-Yahi Wajah Hai Ke DIl Ko Ayat Mein Pehle Zikr Kiya Baad
Mein Sama’a(Kaan) Ko Ke Imaan Pehle Dil Se Tasdiq Ka Naam Hai-Kaan Ke Raaste
Daakhil Huwa- Aankhon Ne Dekha,Phir Dill Mein Utra-
WA AL’A ABSAREHIM Ghishawatun : Absar Basar Ki
Jama Hai Jiske Maani Hain Dekhna( Aankh)- Tafseer Ibn Abbas (Razi Allah Anhuma)
Mein Bayan Huwa Ke Beshak Jo Log Kaafir Hain Woh Apne Kufr Mein Pakke Hain,
Kufr Par Ade Huwe Hain Unhen Naseehat Karna Na Karna, Quran Soona Kar Darana Na
Darana Barabar Hai-Allah Taala Ne Unke Dilon, Kaanon Par Kufr Ka Thappa
(Mohar-) Laga Diya- Aur Unki Aankhon Par Parda- Yahan Ghishawat Ke Maani Hain
Parda EK GHata Top Parda Jo Inki Aankhon Par Pada Hai-
No comments:
Post a Comment