Wama Unzila Min Qablak”
Dekho Pehle Aap Salallaho Alehe Wasallam Par Jo Naazil Huwa
(Quran Pak, Wahi, Ilhaam, Qalb Se Zaahir Huwa) Oos Par Mukammal Imaan, Aur Min Qablak- Jo Aap Salallaho Alehe
Wasallam Se Pehle Naazil Huwi Kitabon Par Bhi Imaan Lana Hai- Lekin Kutub
Sabiqa Par Amal Mansookh Hai- Jaise Bait Al-Muqaddus Manna Zaroori Hai Ke Pehla
Qibla-Lekin Ab Oos Ki Taraf Munh Karke Namaaz Padhna Mansookh Ho Chuka Hai- Isi Liye Allah Taala Ne Sab Se Pehle
Imaan Ka ZIkr Farmaya Na Ke Amal Ka- Agar Imaan Dill Se Le Aaya (Tasdiq Qalb)
To Momin Hai- Warna Zaban Se Iqraar Kar Liya Aur Dill Mein Munafiqat To Aisa
Imaan Aakhirat Mein Kaam Na Aaiga- Isee Liyee Aage Farmaya “WA-BILAAKHIRATE-
Hamen teen jagah
Rehna Hai
- Kuch Roz Dunya Mein
- Kuch Roz Qabr Mein( Yani Aalam-e-Barzakh-
- Aur Hamesha Aakhirat Mein-
i)Dunya Ki Ibteda’a Hamari Paidaish Se Aur Inteha Mout Se-
ii)Barzakhi Zindagi Doosri Mout Se Aur Inteha Qayamat
Mein-(Munkir Nakir Ke Sawal Ke Liye Hamen Dobara Zinda Kiya Jayega-)-
iii)Aur Aakhirat Ki Zindagi Qayamat Se Aur Inteha Kabhi
Nahi----
BARZAKHI ZIndagi Dunya Aur Aakhirat Ki Zindagi Ke Darmyan Ek
Parda Hai Ke Na Wahan AMAL Hai Na Aur Naa
Kiye Huwe A’amal Ki Jaza Isee Liye Barzakh Kehte hain-In SabKa Manna
Zaroori Hai-
HOOM YEQENOON YAQEEN SE Bana Hai-
Abu Al-Laith Rehmat Allah Farmate Hain YAQEEN Teen TARAH Ka
Hai-
1)YAQEEN AYAN (ZAAHIR)Iske Maani Hai Khood Cheez Ko Dekhkar
OOs Ka Yaqeen Haasil Ho-
2)YAQEEN KHABAR- Kisi Se khabar Paa kar Ooska Yaqeen Ho-
Jaise Dhuen Ko Dekhkar Aag Ka Yaqeen- Aur Dhoop Ko Dekhkar Suraj Ka Yaqeen-
3)Yaqeen Dalalat- Dalil Se Kisi Cheez Ka Yaqeen Haasil Ho-
Shariat Mein Yaqeen Khabar Moatbar Hai- Jo Shakhsh Nabi Ka
Inkaar Kare Aur Oon Saari Cheezon Ko Apni Aqal Se Maane Woh MOMIN Nahi Hai-
ISEE LIYE IS AYAT MEIN AAKHIRAT KE YAQEEN KO KITABON KE IMAAN KE BAAD BAYAN
KIYA-
SUFYA HAZRAT Farmate
Hain Yaqeen Ke Teen Darje Hain -
i)ILM AL-YAQEEN:Soon Kar Janna Misal Ek Shakhsh Soon Kar Janta Hai Ke AAG Garam
Hai-
ii)AIN AL-YAQEEN: Dekh Kar Janna Jaise Doosra Shakhsh Aag Ke
Qareeb Baith Kar Jaan Raha Hai Ke Aag Garam Hai-
iii) HAQQ AL-YAQEEN : Teesre Ne Apne App Ko Aag Mein Daal
Diya Aur Aag Oos Ki Rug Rug Mein Daakhil Ho Gayee-
YAHI WOH FANA HAI JISKE BAAD JANNA ILM AL-YAQEEN HUWA,
DOOSRA AIN AL-YAQEEN AUR TEESRA HAQQ AL-YAQEEN-
HAQQ AL-YAQEEN WALA JIS PE NAZAR FARMADE OOSKO BHI RUNG
DE-SUBHAN ALLAH-KOILA(Charcoal) JUB AAG BUN JATA HAI TO JISM TO KOIALA REHTA
HAI LEKIN KAAM AAG KA SA KARTA HAI-
SUFYA KRAAM FARMATE HAIN JO IN DARJAT MEIN TARAQQI CHAHTA
HAI WOH HASB ZAIL KAAM KARE:
1)BAWAZU REHNA.
2)KUM KHANA.
3)AKSAR KHAMOSH REHNA.
4)AKSAR KHUDA KA ZIKR KARNA.
5)AALAM (Universe)KI CHEEZON MEIN GHOUR KARNA.
6)FARAIZ AUR SUNNATON KI PABANDI KARNA.
7)DUNYA WALON SE BEGHARZ REHNA-(YAHAN BEPARWAH NAHI FARMAYA-BALKI APNI GHARZ DUNYA Dunya Walon SE NA POORI KARNA- ).
8)KUM SONA, HALAAL KHANA, SACH BOLNA, YE CHEEZEN GUFLON(TAALON)
Ki chabiyan hain-YeGufl Kya HAi Aap Nayk Sufiyaon Kee Sangat Mein Jaan Sakte
Hain.
No comments:
Post a Comment