WALLAZINA YU’AMENUNA BIMA’A UNZILA ILAYKA WAMA UNZILA MIN QABLIK- WA BIL-AAKHIRATE HOOM
YUQENOON-
(Aur Woh Log Ke Imaan Laayen Oospar Jo Ai MEHBOOB Tumhari
Taraf Utra, Aur Jo Tum Se Pehle Utra , Aur Aakhirat Par Yaqeen Rakhen)-
Subhan Allah Mujhe Fakhr Hai Allah Taala Ke Is Kalam Par Aur
Rashk Hai Is Quran Paak Ki Tartib Karne Wale Par- Allah Taala Ne Kya Salahiyat
Ata Farmayee Hai Quran Fahmi Ki , Kya Faham Ata Farmaya Hai Allah Taala Ne Ilm
Deen Ka-
Pehle Allah Taala Ne Jo Sifaten Imaan Walon Ke Liye Bayan Farmaya Woh Allah
Ki Zaat Par Sifat Par(Ilm Ghaib ) Par Imaan Laane Ka - Ab Yahan Farman Ilahi
Huwa Ke Sirf Allah Ki Zaat Par Aur Sifat Par Imaan Lana Kaafi Nahi Hai Muttaqi
Hone Ke Liye Balki Jub Tuk Anbiya Kraam, Aasmani Kitab Aur Aakhirat Par Bhi Imaan
Na Ho Aap Log Muttaqi Nahi Ho Sakte-- In Cheezon Ko Is Ayat Mein Bayan Kiya
Gaya(Tafseer Fateh Al-Mannan)-
Is Se Pehli Ayat Mein
Oon Parhezgaaron Ka Zikr Huwa Jo Be-Padhe Aur Mushrekin Arab Mein Se
Imaan Lakar Parhezgar Bane, Aur Islaam Mein Daakhil Huwe- Aur Is Ayat Mein Oon
Logon Ka Zikr Ho Raha Hai Jo Yahudiyat Aur Isaiyat Se Touba Karke Musalman Hon-
Jis Se Maloom Huwa Ke Ye Kitab Donon Qism Ke Logon Ke Liye Mukammal Hidayat
hai-
Yumenuna BIMA UNZILA ILAYK:
Mere Bhaio Yahan Par Ab Aap Logon Ko Ek Khaas Nuqta Samjha
Doon Is Ayat Ke Mutalliq- Allah Taala Ka Farman Hai Ke Imaan Lao Aap Par Jo
Utra ( Naazil Huwa ) Aur Aap Par Allah
Ka Ilm Naazil Hone Ke Teen Tariqe Faqir Ki Samajh Mein Aaye Hain-
1)Wahi
2)ILHAAM
3)Khwab ( Anbiyaon Ke Khwab Sachhe Hote Hain-
Isliye Allah Paak Ka Farman
Hai“BIMA UNZILA ( Jo Aap Par
Naazil Huwa), Na Ke Allah Taala Ne Farmaya “BIMA QOOLT” ( Jo Hum Ne
Farmaya)-Unzila Yaani Naazil Mein Ooper Ke Teenon
Zariye Aa Gaye QOOLt Mein Nahi –(Ummid Hai Ye Nuqta aap Logon Ki Samajh
Mein Aa Gaya Hai-
To Ab Imaan Ye Huwa Ke Aap Ke Oon Tamaam Aqwal Par Imaan
Lana Zaroori Hai Jo Aap Ne Khwab Mein Dekhe, Aap Par Ilhaam Huwa, Aap Par Wahi
Ke Zariye Naazil Huwa-(Salallaho Alehe Wasallam )-Ek Misal DAJJAL Ka ZIKR-73
Firqon Ka Zikr Jo Quran Paak Mein Nahi Hai-Ya To Aap Par Ilham Huwa Ya Khwab-
Beshak Tamaam Ilm Allah Taala Ki Taraf Se Hai- Hamen Aap Ke Har Farman Ko Manna
Hai- Ye Ilm Ghaib Tamaam Musalman Ko Haasil Nahi Allah Taala Apne Pasandeeda
Bandon Ko Ata Farmata hai-
ILAYKA Mein Bahut Gunjaish
Hai- Chahe Aap Ne Aankh Se Mulaheza Farma Liya Arsh Par Ya Farsh Par,
Kanon Se Soona Jo Jibrail Aleh Salam Ne Aap Se Arz Kiya-Iski Misal Namaaz,
Roza, Zakaat Ka Mukammal Tariqa Jo Quran Paak Mein Zikr Nahi Huwa---Ap Log
Khood Ghour Karen Itni Tafseel Mein Shariat Aur Tariqat Qaim Karna Ek Aam Aalim
Ka Kaam Hargiz Nahi Hho Sakta-
Hamare Kai Aise Musalman (Naam Ke ) Hain Jo Bila Khouf Ye
Keh Dete Hain Ke Ye Aap Ko Khwab Mein Huwa- Ya Aap Ne Khwab Mein Dekha- Ye Ayat
Aise Logon Ke Liye Dars Hai----Isi Ayat Ko Agli Post Mein Insha Allah continue-
Yahan Is Tafseer Ko Sahi Tour Se Samajhne Ke Liye Post Ko Short Likha Gaya -
No comments:
Post a Comment