Aur Hamari Dee Huwi Rozi Mein Se Hamari Raah Mein Uthaen:
Mere Buzurg Dosto Aur Bhaio Yahan Par Muttaqeen Ki Sifat Ka
Tarteeb Waar Zikr Ho Raha Hai-
Ye Ayat-e-Karima Oon Tamaam Bhatke Huwe Naami Musalmanon Ke
Liye Ek Dars Hai Jo Anbiya , Aur Sahaba Kraam Kee Shaan Mein Gustakhana Klaam
Karte Hain Aur Unke Khilaf Oul Foul Bakte Hain Maaz Allah, Allah Taala Aise
Islami Dushmanon Ko Hhidayat Ata Farmaye-Ameen
Aayen Ab Sab Se Ahem Nuqta Hum Is Quran Paak Se Seekhen Jo
ILM-GHAIB Is Paak Kitaab Mein Chupa Huwa Hai-
1)ALLAH TAALA NE SUREH AL-FATEHA APNI HAMD AUR APNE NAAM SE
SHURU FARMAYA-
2)SUREH AL-BAQRAH MEIN ALLAH TAALA NE APNE HABIB KE NAAM SE MUKHATIB
HO KAR TAMAAM JAHAN KO YE HUKM FARMAYA KE YE KITAB JISMEN KOI SHAK NAHI HAI
HIDAYAT HAI MUTTAQIYON KE LIYE- ALIF-LAAM-MEEM---AL-MUHAMMAD
3)ISKE FOURAN BAAD ALLAH TAALA NE APNE BARGAZEDAH BANDE
HABIB SALALLAHO ALEHE WASALLAM KE CHAARON KHULFAON KA TARTIB WAAR ZIKR FARMAYA---IS
TARAH
I)HUDAN LIL-MUTTAQEEN----TAQWA--HAZRAT SIDDIQ AKBAR RAZI
ALLAH TAALA ANHO- YAANI IS AYAT MEIN CHARCHA HUWA AP KA AAP SE ZYADA SIDDIQ KOI
NAHI NABI KE BAD AAP KA RUTBA HAI
II)AL-LAZINA YU’AMENOONA BIL-GHAIB—GHAIB PAR IMAAN LANE
WALON KO MOMENIN FARMAYA—AUR HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAH TAALA ANHO KO LAQAB
MILA AMEERUL-MOMENIN KA –
III)YUQEMOONA AS-SALAWAT—HAZRAT USMAN BIN UFFAN RAZI ALLAH
TAALA ANHO KI YE SIFAT HAI-AAP NAMAZIYON KE SHAHENSHAH HAIN-
IV)AUR IS POST MEIN LIKHI YE AYAT WAMIMMA RAZAQNAHUM
YUNFEQOON—AUR KHARCH KARNA – AUR MOULA ALI RAZI ALLAH TAALA ANHO ALLAH KEE RAH
MEIN KHARCH KARNE WALON KE IMAAM-
SUBHAN ALLAH –
Dunya Mein DO QOSM KE MAAL HOTE HAIN ---HALAAL—HARAAM
Raah-e-Khuda Mein Woh Maal Kharch Karen Jo Nihayat Tayyeb
Aur Halaal Ho-Kyunki Haraam Maal Ki Allah Paak Ki Bargah Mein Quboliyat Nahi-
Istelah Mein Rizq Woh Hai Jis Se Jaandar Cheez Koi Nafa
Haasil Kar Sake-Lehaza- Hawa, Paani, Ghiza, Libaas, Aulad Waghaira Har Neamat
RIZQ Hai-Is Ayat Ke Ye Maani Huwe Ki Har Neamat Se Hamari Raah Mein Kharch
Karen-
i)Hawa Se Saans Letey Ho To Kuch Saansen Allah Ke Zikr Mein
Kharch Karo-
ii)Halaal Maal Ko Allah Ki Raah Mein Kharch Karo-Madrasah
banwao- masjid ke liye waf karo- sadqa waghaira-
iii)Aulad Mein Se Kisi Ko Allah Ki Raah Mein do- Unmen se
kisi ko Allah Ki Raah Mein Bhejo- Ilm Deen Sikhao-
iV) jahad Maal Jismen Apne Tamaam Rishtedaron ke haqq shamil
huwe-Auladon Ki Parwarish, Rishtedaron aur aqraba ki imdaad, waledain ke liye
kharch-Garz Ke yahan Yunfeqon Ke Maani Agar Likhen Jayen To Kaafi Nahi Hoga-
INFAAQ Lafz Nafq Se Bana Hai Jiske maani Hai BIKHERNa, Alag
Alag hona- Isliye Jiska DILL Aur ZABAN Ek Na Ho Oose MUNAFIQ Kehte hain-Kharch
Ko Bhi Nafqa Isliye Kehte Hain Ki Ismen Maal Bikher Diya Jaata Hai-Alag Alag
Kar Diya Jata Hai Yaani Kharch-(Yahi Naan Wa Nafqa Mein Istemaal Huwa)- Jo
Kitab Al-Talaqa Mein Zikr Huwa)-
SUFIYA KRAAM ALEHUM Rehmat Allah Al-Qawi Farmate Hain Jis
Tarah Is Ayat Mein Zaahiri Neamaton Ke Kharch Shamil Hain Oosi Tarah Batini
Neamten Bhi Kharch Mein Daakhil Hain-
1)Lehaza Ghani Apne Maal Se Kharch Karen Ulma Apne Amal Se
Ke Logon Ko Sikhaten Bataen Chupayen Na-
2)Mujahid Apni Jaan Kharch Kare Ke Haqq Taala Ki Atahat Mein
Kotahi(Susti) Na Kare-
3)AABEDIn(Ibadat Guzar) Apne Dill Ko Kharch Kare Ke Ismen
Dunya Ki Gandagi Ko Na Aane Den Paak Rakhen Saaf Rakhen APne Maabood Ke Liye
–AurDunyawi Musibaton Se Ise Paak Rakhen Jis Tarah Kashti Se Paani-
4) Yahi Amal Jo Badani Zakat hai Sufya Kraam Rehmat Allah
Ajmaeen Ka Hai Jise Bud-Mazhab Jaante Nahi Hain Aur Biddat Shumar Karte HAin-
Ye Badani Zakat –Ek Bande Ko SIRR-Al-Asraar Tuk Pahunchati hai Aur Bande Ko
Allah Se Qarib Tur Kardeti Hai-Subhan Allah-
ISKE FOURAN BAAD ALLAH TAALA NE APNE BARGAZEDAH BANDE HABIB SALALLAHO ALEHE WASALLAM KE CHAARON KHULFAON KA TARTIB WAAR ZIKR FARMAYA---IS TARAH
ReplyDeleteکیا یہ تشریح اسی ترتیب سے رسول کے زمانے میں بتائی گئی تھی؟ اگر ہاں تو حوالہ پیش کر دیجئے