Friday, February 19, 2016

Aur Namaaz Qaim Rakhen

WA YOOQIMUNAS-SALAWAT--

Ab Yahan Par Muttaqee Logon Ka Zikr Ho Raha Hai- IMAAN Ka Zikr Agli Ayat Mein Huwa Ab A'AMAL Ka Zikr Ho Raha Hai-Ab Aamal Mein Sab Se Behtar Amal NAMAAZ Hai Isliye IMAAN Ke Fouran Baad Namaaz Ka Zikr Huwa- Yahan Imaan Amal Par Muqaddam Hai-KUCH WAJAH SE:

1)IMAAN AAMAL KI ASL HAI
2)IMAAN QALB (DILL) KA KAAM HAI
3)AUR AAMAL JISM KA KAAM HAI
4)QALB GHAYEB HAI JISM ZAAHIR HAI
5)DILL  BADSHAH HAI JISM OOSKI RIAYA
6)IMAAN SAARE PAIGHAMBARON KE DEEN MEIN YAKSAN (SAME) RAHA LEKIN AAMAL MEIN FARQ RAHA-MISAL KISI PAIGHAMBAR NE FAJAR PADHI, KISI NE ZOHAR, KISI NE ASAR, KISI NE MAGHRIB, KISI NE ISHA – LEKIN UMMAT MUHAMMADI ( Salallaho Alehe Wasallam) Paanchon Namaaz Yaani Aamal Bhi zyada-
7)IMAAN LANA ISLAM MEIN AWAAL HEE SE FARZ HUWA AAMAL ZAKAT, NAMAAZ  BAAD MEIN.
8)AAMAL MOUT KE BAAD KHATM HO JAATE HAIN LEKIN IMAAN HAMESHA SAATH RAHEGA.
Aur bhi kayee wajah hai isliye Imaan Ko Namaaz (Amal) Se Pehle Bayan Kiya Gaya Aur Namaaz, Zakaat, Hajj Yaani Aamal Ko Baad Mein-Zakat Maali Amal Hai-
Zakaat Ko Namaaz Ke Baad Isliye Bayan Kiya Gaya Ke Namaaz Badani Amal Hai Zakaat Maali Aur Momin Ka Badan Maal Se Afzal Hai- Islaam Mein Sab Se Pehle Namaaz Farz Huwi- Phir Zakat Waghaira – Ke Allah Taala Ne APne Habeeb Salallaho Alehe Wasallam Ko ARSH Par Bulakar NAMAAZ Ata Farmayee Aur Baaqi Aamal Zameen Par He Ata Farmaya-
Namaaz Isliye Bhi Afzal Hai Imaan Ke Baad Kyunki Namaaz Din Bhar Mein Paanch Waqt Farz Hai Zakaat Saal Mein EK Baar Wo Bhi Saheb Istetaat ke liye Isi Tarah Hajj Bhi- Roze Saal Mein Ek Baar Ramzan Ka bhi ek Maah Mein-
YOOQEMUN Ke Maani Hain Qayem Rakhna Hamesha Padhna- Namaaz Ko Ooske Zaahiri Aur Batni  Aadab Ke Saath Padhna
Namaaz Ke Zaahiri Aadab Ooske SUNNATEN Aur FARAIZ Hain
Aur NAMAAZ KE BATINI SHARaiT (Plural Of Shart) YE Hain Ke Dill Mein Aajizi Ho RIYAKAARI ( SHIRK) Na Ho,Dill Hamesha Bargah e Ilaahi Ki Taraf Mutwajjeh Ho- Isliye Allah Taala Ne Jahan Bhi Namaaz Ka ZIkr Farmaya QAYEM Ke Saath Farmaya
YUUQIMOON Mein Shariat wa Tariqat Ke Saare Masail Aa Gaye-
(Mukammal Namaaz Ka Tariqa Janne Ke Liye Mera Blog  visit Karen)

NAMAAZ KYUN AFZAL HAI?

Namaaz Tamam Malayeka Ki Ibadaton Ka Majmooa Hai – Kyunki Malaika Mein Kuch Ruku’a Kar Rahe Hain, Kuch Sajdah Kar Rahe Hain, Kuch Tasbih,Baaz Qayam- Allah Taala Ne Hamari Namaaz Mein Ye Saare Nayk Aamal Jama Farma Diye Hain-JO ISKI PABANDI KAREGA WO DARJAH MEIN SAARE MALAIKA SE AFZAL HOGA-
ISI LIYE SUFYA KRAAM IS AYAT KE MUTALLIQ FARMATE HAIN KE MUTTAQEEN WO HAIN JO IMAAN LAATE HAIN OOS NOOR GHAIBI SE JO RUBB TALA KI TARAF SE OONKO MILA AUR OOSKI TAYED YAANI DALIL YE HADIS SAABIT KARTI HAI KE MOMIN KI FERASAT SE BACHO KE MOMIN ALLAH PAAK KE NOOR SE DEKHTA HAI
Yaad Rahe Hudan Lil-Muttaqeen Bhi Shart Hai – Jub Musalman MUTTAQI Ho- Hidayat Naseeb Hogi, Imaan Pakka Hoga, Aamal Allah Taala Ki Bargah Mein Maqbool Honge-
To Darjah Is Tarah Huwa Ke Musalmaan
1)ISLAAM MEIN SAB SE PEHLE MUTTAQI HO
2)ISLAAM KE BAAD FOURAN IMAAN LAYE
3)NAYK AAMAL  QAYEM KARE- 
 SUFIYA KRAAM KE NAZDEEK QAIM RAKHNA AUR QAIM KARNA ALAG HAI-

No comments:

Post a Comment