SHAAN-E-NUZOOL:
Is Sureh Ka Ek Ijmaali (Complete-Total) Shaan-e-nuzool Hai
Aur Ek Tafsili(Detail). Detail Shaan-e-nuzool
Har Ayaton Ke Saath Bayan Hota Jayega- Ijmaali Shaan-e-nuzool Ye Hai Ke
Jub Aap Salallaho Alehe Wasallam Makkah Al-Mukarramah Mein Tashrif Farma Thay
To Wahan Sirf Butt Paraston Aur Mushrekin Ka Muqabla Tha Lekin Jub Madinah
Al-Munawwarah Tashrif Laye To Wahan YAHUDIYON Aur ISAIYON Kee Abadi Payee-
Madinah Paak Mein Yahudiyon Ka Bahut Zor Tha Aur Abdullah
Bin Aba( ابى-Arabic Mein
Aba Padha Jayega) Yahan Ka Sardaar Mana jata tha-Jub Islaam Ka Aaftab Madinah
Par Chamka , Aur Sab Se Pehle Abu Ayyub Ansaari Razi Allah Taala Anho Ke Ghar
Ko Chamkaya aur Quran Ki Aawazen Oonke Kaanon Mein Pahunchi To Chund Deendar Logon Ne Islaam Qubool Kiya(iski
Tafsil Mein Ne Shah-e-Madinah Page FB Par Likhi Hai Ke Ansaar Ki Haqiqat) Baaqi
Hasad Aur Tassub Ki Wajah Se Muqable Par Amada Ho Gaye-
Ye Hasedin Aur Mutassub Log Pehle Hi Se ILM Mein Mashhoor
Thay Aur Wahan Ke Aas Paas Ke Log Oonki Izzat Karte Thay Isliye Aksar ARAB Ke
Jaahil Bhi OOnke Saath Ho Gaye-Phir YAHUD Aur NASARA Jo Aapas Mein Ladte Rehte
Thay, Islaam Ke Muqable Ke Liye Ek Ho Gaye(Ye Silsila Aaj Bhi Jaari Hai)-
Abdullah Bin Aba Aur Ooske Saathi Jinko Izzat Aur Maal Ki
Mohabbat Ne Andha Kar Rakha Tha Bazahir To Musalmaan Ho Gaye Lekin Dill Se
Kaafiron Ke Saath RaheAur Unhon Ne Dar Parda(Khufya Tariqe Se)Islaam Dushmanon
Ki Imdaad Karna Shuru Kardi-
Goya Madinah Paak Mein Aakar Musalmanon Ko Chaar(4) Qoumon
Se Ladna Pada:
- ULMAA YAHUD
- ULMAA NASARA(ISAYEE)
- JAAHIL MUSHREKIN
- MUNAFEQEEN
Ye Log Khufya Izaa(Taklifen)Pahunchane Ke Alawa Musalmanon
Ke Dilon Mein Shuk o Shubah Daalte Thay -Hikmat Ilaahi Ka Taqaza Ye Huwa Ke Ek Aisi Sureh Ootari Jaye
Jis Se In Chaaron Firqon Ki Sarkubi Ho Jaye-Aur Oonke Shubhat(Doubts) Door Kiye
Jayen – Isliye Madinah Paak Pahunchte Hi Ye Sureh Naazil Hona Shuru Huwi .
Baaqi Har Ayat Ka Shaan e Nuzool Insha Allah
Aage Aage Har Ayat Ke Saath Bayan Hota Rahega Jise Tafsili Shaan-e-nuzool Kehte
Hain Ooper Jo Bayan Huwa Wo Ijmali(Summarized Ya Overall Keh Len)Bayan Huwa-
No comments:
Post a Comment