Faidey:
1)Jis Ghar Mein Sureh Al-Baqrah Padhi Jaati Hai Oos Ghar
Mein Teen Roz Tuk Sharkash Shaitan Daakhil(Enter) Nahi Hota.
2)Jo Shakhsh Hamesha Sotey Waqt Sureh Al-Baqrah Ki Dus(10)
Aayaten Padh Liya Kare Woh Insha Allah Quran Paak Kabhi Na Bhoolega. Woh Dus
Aayaten Ye Hain:
i)Chaar Aayaten Awwal Kee-ii)Aayat Al-Kursi Aur Do Aayaten
Ayat Al-Kursi Ke Baad Ki-iii)Teen Aayaten Aakhir Sureh Ki.
3)Jis Kisi Bachche Ko Chechak(Chicken Pox) Nikal Aaye Woh
Chaawal Pakaye Aur Oos Mein Baqadr Zaroorat Dahi Aur Khaand Daale Aur Kisi
Faqir Ko BoolaKe Oos Se Kahe Ki Is Chawal Ko Is Tarah Aahista Aahista Khaye Ke
Mera Padhna Aur Tera Khaana Ek Saath Khatm Ho Woh Faqir Oos Bachche Ke Saamne
Khana Shuru Kare Aur Woh Shakhsh Bachche Ke Saamne Padhna Shuru KardeEk Taraf
Sureh Al-Baqrah Khatam Kare Aur Doosri
Taraf Faqir Khana Khatm Kare – Insha Allah Bachche Ko Chechak Se Aaram Hoga Aur
Oos Saal Ghar Mein Chechak Se Aman Rahega-
4)Imaam Tabrani Aur Bayhaqi Rehmahum Allah Ne Hazrat Umar
Razi Allah Taala Anho Se Riwayat Kee Hai Ke Huzur Salallaho Alehe Wasallam Ne
Irshaad Farmaya Ke Mayyat Ko Dafan Karke Oos Marhom Ki Qabr Ke Sarhaane Sureh
Al-Baqrah Ki Awwal Aayaten(MUFLEHOON TUK) Aur Qabr Ke Paayenti Sureh Al-Baqrah Ki Aakhri Aayaten Padhni
Chahiye-
SUREH AL-BAQRAH KA TALLUQ:
Sureh Al-Fateha Ko Al-Hamd Se Shuru Farmaya Jiske Maani Har
Muslim Bachcha Bhi Jaanta Hai .
Sureh Al-Baqrah Ko ALIF-LAAM-MEEM Se Shuru Farmaya Jiske
Maani Mein Aam Musalmaan To Kya Bade Bade Ulma Aur Auliya Bhi Hairaan Hain, Aur
Is Huruf Maqta’at Mein Oos taraf Ishara Hai Ke Quran Paak Baaz Lihaaz Se Bahut
Aasan Hai Aur Baaz Aitbaar Se Mushkil-Quran Ke Baaz Zaahiri Maani To Aasan Hain
Ke Soon Kar Hi Samajh Mein Aa Jate Hain Aur Baaz ISRAAR-o-RUMOOZ ( Secrets And
Codes) Is Qadr Dushwar Ke Jiske Liye AQAL INSAAN Kaafi Nahi Hoti Hadis Ki Naqal Ki Zaroorat Padti Hai..
No comments:
Post a Comment