Thursday, February 11, 2016

COMPLETE INTRODUCTION OF SUREH AL-BAQRAH

Sureh –Al-Baqrah Ka Ijmali Tarruf-

Quran Majid Ki Sab Se Badi Sureh Hai-Ye Sureh MADANI Hai-Akrama Ne Bayan Kiya Hai Ke Madinah Mein Jo Sureh Sab Se Pehle Naazil Huwi Woh Sureh AL-Baqrah Hai.
Khaas Nuqta, Madina Munawwarah Mein Naazil Hone Wali Tamaam Surton Mein Musalmanon Ke Inferadi(Personalized) Aur Ijtemayee(Collective) Nizam-e-Hayat, Ibadaat, Siyasiyat(Politics),Iqtesadiyat(Economics), Aur Imraniyat(Sociology) Ke Usool aur Ehkaam Bayan Kiye Gaye Hain- Iske Barkhelaf MAKKI Surton Mein Aitqadiyat(Belief), aur Ikhlaqiyat (Of-Good) Par Zor Diya Gaya Hai-Kyunki Madinah Mein Musalmanon Ki Apni Riyasat Qaim Ho Chuki Thi-Aur Nizaam-e-Mamalakat Ko Chalane Ke Liye Jin Usool Aur Qawaid Ki Zaroorat Hoti Hai Woh Sab Madani Surton Mein Naazil Ki Gayee-
Islaami Aqaid Ki Asaas(BASE) IMAAN-BILGHAIB hai-Aur Baghair Dekhe Allah Taala Ko WAHID Aur La-Sharik Maan-na Hai. Allah Ke Tamaam Rasoolon Par Imaan Lana Hai-Tamaam Aasmani Kitabon Ko Maan-na Hai Jaza Aur Saza Ka Iqraar Karna Hai.Aamal Saleha Mein Ibadat Ko Qaim Karna Hai. Tabqati(Class) Munafirat(Hatred)ka sad-e-baab karne ke liye(to Prevent Hatred)Ahem Ibadat Zakaat Ada Karna Hai.
ISLIYE SUREH AL-BAQRAH ”IMAAN BIL-GHAIB, IQAMAT SALAWAT, AUR ZAKAAT KE BAYAN SE SHURU HOTI HAI-Phir aage chalkar is Surat Mein SHARIAT ISLAMIYA ko Wazahat(saaf tour se) Se Bayan Kiya Hai (Explained In Detail).Ibadat Aur Moamlat Ki Tafseel Ki Gayee Hai-Iske Alawa Tahwil(Possession) Qiblah, TOUHID Par Dalil,Maah Ramzaan Ke Roze, Bait Allah Ke Hajj, JAHAAD Fi-SABIL Allah, INFAQ(Spending) FI-SABIL Allah, Waledin aur Rishtedaron Ke Huqooq, Zakaat Aur
sadqat Ka Sahi Masraf(Kharch), Yatimon Ki Kafalat, Aayeli(Family) Zindagi Ke Usool aur Ehkaam Mein NIKAH, Talaaq, Raza’a, IDDAT, Aur Eela’a Ko Bayan Kiya Gaya Hai,
QASAM Khane Ka Sharayee Hukm. JAADOO Ka Haraam Hona, Qatl Na-Haqq Ki Mumaneat(Prohibition Of   Murder).QAATIL Par QASSAS Ko Wajib Karna, NAJAIz Tariqon Se Logon Ke Maal Khaane Ki Mumaneat, SHARRAB JUWE, SOOD(Interest) Ki Hurmat(Prohibition). Aurton Ke Haiz Ke Dinon Mein Amal Azdwaj  Ki Mumaneat.
Isi Sureh Mein Ek Ayat hai Jis Mein Allah Taala Ki ZAAT, SIFAAT, Ooski WAHDAT, Aur Ahem Sifat Ka Bayan Hai. Ye Ayat Hai AYAT-Al-KURSI.Isi Sureh Mein Wo Ayat Hai Jo Quran Majid Ki Sab Se Badi Ayat Hai Isko” AYAT MADAINA” Kehte Hain Is Ayat Mein “ QARZ Dene, QARZ Lene, QARZ Ko Likhne, Kaarobari Moamlaat Mein Mardon Aurton Ko GAWAH Banane, Rahen(Girvi) Rakhne, AMANAT Ada Karne, Gawahi Choopane Ki Mumaneat(Mana) Kiya Gaya Hai.(ayat283)-

No comments:

Post a Comment