Friday, February 12, 2016

ALIF-LAAM-MEEM

QURAN MEIN HURUF MAQTA'AT

Huruf Maqtaat Ki Khabar Hazrat Jibrail Aleh Salaam Ko Bhi Nahi Hoti Thi-Allah Taala Ne Aap Salallaho Alehe Wasallam Ko Har Mutashabehat Ke Maani Bataye
- Warna Aap Iske Maani Hargiz Na Samajhte-Aur Quran Paak Ka Nuzool Bekaar Hota-Iske Alawa Rubb Ne Namaaz-Zakaat, Aur Saari Ibadat Ka Hukm Diya Magar Kisi Ibadat Ki Tafseel Na Bayan Kee, Na Aap Salallaho Alehe Wasallam Ne Poochha Ke Kitne Maal Se Kitni Zakaat Den?, Kub Den? Kaise Den? Balki Aap Ne Sahaba Kraam Razi Allah Taala Anhum Ajmaeen Ko Har Hukm Quraani Ki Tafseel Samjha Deen-KALIMAH, ALIF-LAAM-MEEM Hee Aap Salallaho Alehe Wasallam Ka ILM Aur AALIM Paida Hona Zaahir Kar Diya-
Chunanche Jub KAAF-HA- YA-AIN SAAD Naazil Huwi To Hazrat Jabrail Alehe Salaam Ne Arz Kiya :
KAAF—Huzur Ne Farmaya Mein Ne Jaan Liya
Phir Arz Kiya HAA-Farmaya Mein Ne Jaan Liya-Phir Arz Kiya YAA- Aap Ne Farmaya Mein Ne Jaan Liya-
Phir Arz Kiya AIN Aap Ne Farmaya Mein Ne Jaan Liya- Phir Arz Kiya SAAD Ap Ne Farmaya Mein Ne Jaan Liya-Aakhir Mein Hazrat Jabrail Aleh Salaam Ne Arz Kiya Aap ( Salallaho Alehe Wasallam Ne Kya Jaan Liya Mujhe To Kuch Khabar Bhi Na Huwi-(Tafseer Rooh Al-Bayan)-
Faqir Ke Nazdeek ALIF-LAAM-MEEM Ke Maani Al-Muhammad Ilhaam Huwa Hai- Kyunki Iske Fouran Baad Allah Taala Ne ZAALIKA Farmakar Quran Mein Apne Kalaam Ko Ism-e-Ishara Ata Farmaya Quran Ko Aap Salallaho Alehe Wasallam Ki Taraf- Ke Ai Muhammad (Yahan Al-Muhammad Farma Kar Allah Taala Ne Aap Salallaho Alehe Wasallam Ko Ek Bada Rutba Ata Farmaya)- Ye Kitab-(Zaalikal-Kitab) Jismen Koi Shak Nahi Hidayat Hai Parhezgaaron(Muttaqi) Logon Ke Liye-(Hudan Lil_Muttaqeen)-
Quran Paak Ke Har Huruf Padhne Par Naykiyan Hain Lehaza ALEEF-LAAM-MEEM Ke Har Huruf Par Naykiyan –Isi Tarah Baqya Tamaam Huruf Par-
Baaz Ulmaon Ka Fatwa Hai Ke Huruf Maqtaat Ka Ilm Aap Ko Bhi Nahi- Allah Taala Farmata Hai Arrehman Allama Al-Quraan – Rubb Taala Aap Ko Saara Quran Sikha Diya-Quran Paak Kyunki Agli Tamaam Kitabon, Sahifon Ki Jamma Kitab Hai Isliye ZAALIK-Al-KITAAb Farmaya-
Tafseer KABIr-Tafseer AZIZI Mein Hai Ke Quran Paak Ke (33)Naam Hain-
1)KITAAB:Kitaab Ke Maani Ooper Bayan Huwa Al-Kitab Kutub Se Bana Hai Jiske Maani Hain Jama Hona-Likhi Huwi Cheez-
2)QURAAN: Quraan Ya To QIRA’A Se Bana Hai Ya QIRA’AT Se  Ya QARN Se (Tafseer KAbir)QIRA’A Ke Maani Hain Jamaa Hone Ke ,Ke Quran Saare Awwalin Wa Aakherin Ke ILMON Ka Majmua Hai-   
Aur Ye QIRA’AT Se Bana Huwa Hai To Isliye Ke Iske Maani Hain Padhi Huwi Cheez To Ab Ise Quran Isliye Kehte Hain Agle Tamaam Anbiyaon Ko Kitab Aur Sahife Haqq Taala Ki Taraf Se Likhe Huwe Ata Farmaye Gaye- Lekin Quran Karim Padha Huwa Naazil Huwa ( Aap Salallaho Alehe Wasallam Iqra Be-Ism Rabbika)-

No comments:

Post a Comment