Thursday, February 11, 2016

SIRAT AL-LAZINA ANAMTA ALEHIM

Raasta Oonka Jin Par Toone Ehsaan Kiya-

Is Ayat Se Pehle Kee Ayat Mein Banda Apne Rubb Se Hidayat Ki Dua Karta Hai- Oos Ayat Mein Bayan Huwa Ke Allah Paak Hum Seedha Raasta Maangte Hain Jinpar Toone Ehsaan Farmaya- Is Se Maaloom Huwa Ke Seedhe Raaste Kee Pehchan Ye Hai Ke Oose Nayk Bande Ikhtiyar Karen- Doosre Ye Ke Parwardigar Hum Woh Raasta Maangte Hain Jinmen Tere Bandon Ke Khaas Naqsh Qadam Moujud Hon- Aur Oonki Rahbari Se Hum Manzil Maqsood Tuk Pahunch Jayen- Teesre Ye Ke Sirat-e-Mustaqeem Woh Hai Ke Jo Afrat-o-Tafrit (Jaise Kehte Hain Afra Tafri Machi Hai) Ke Darmyan Ho- Is Ko Samajhne Ke Liye Teen Jamaton Ka Zikr Kiya Gaya:
  1. Darmyani Raasta Tere Khaas Bandon Ka Raasta Hai.
  2. Afrat Wala Raasta MAGZUB ALEHIM Wala Raasta.aur
  3.  Tafrit Wala Raasta ZALLIN Wala Raasta.

ANAMTA SE Murad Neamat Dunya  Hai. Neamat Lughat Mein NARMI Ko Kehte Hain-Isliye Arabi Mein Naram Kapde Ko Thob Na’ama Kehte Hain- ISTELAH Mein Suroor Aur Lazzat Ko Neamat Kehte  Hain-
Neamaten Teen Tarah Ki  Hoti Hain-
1)Ek Bila Asbaab Rub Ki Taraf Se Ejad Hoti Hai Jaise, Zindagi, Bachpan Ka Rizq, Hidayat-
2)Doosri Hum Tuk Kisi Bande Ke Zariye Pahunchti Hai Jaise Dunyawi Maal Waghaira-
3)Teesri  Hum Ko Hamare Aamal Ke Sabab Se Jaise Hamare Aamal, Rizq Ka Badhna, Jannat Waghaira
(Tafsir Kabeer)-

In Teenon Kee Misal :

Ek Shakhsh Ne Imaan Aur Amal Ke Zariye Jannat Haasil kee Ye Huwa MATEE’A Banda.
Doosre Ne  Baghair Kisi Amal Doosre Ke Tufail Jannat Le Lee Jaise Ke Musalmanon Ke Nabaligh Fout Shuda Bachche.
Teesre Ne Baghair Kisi Sabab Ke Jannat Haasil Kee Jaise Hoor, Ghulman, Aur Woh Makhlooq Jo Jannat Ko Pour (Bharne) Karne Ke Liye Paida Kee Jayegi-
Pehlee Qism Kee Neamat Do Tarah Kee Hai Ek DUNYAWI Jaise Hamare Aaza aur Oonki Quwaten Waghaiara, Doosre Deeni Jaise IMAAN, HIDAYAT Waghaira,  IS AYAT MEIN AAKHRI QISM KEE NEAMAT MURAD HAI-YAANI DEENI NEAMATEN.
“AI ALLAH HUMKO OON LOGON KE RAASTE PAR CHALA JINKO TOONE DEENI NEAMATON SE NAWAZA HAI”-AUR WOH KAUN HAZRAAT HAIN? Chunanche Allah Taala Ne Farmaya Hai-Sureh Al-Nisa’a Ayat # 69:
“AUR JO ALLAH AUR OOSKE RASOOL KA HUKM MAANE TO OOSE OON KA SAATH MILEGA JIN PAR ALLAH NE FAZL KIYA YAANI “ANBIYA”, AUR “SIDDIQEEN”, AUR “SHOHDA”, AUR “NAYK LOG”- AUR YE KYA HEE ACHHE SAATHI HAIN-“.(Tafsir Kanzul-Imaan)-
Maaloom huwa ke woh hazrat chaar(4)groh hain (1)Paighambar-(2)Siddiqeen-(3)Shohda-(4)Nayk Bande(Saleheen)-
Neamat Kee Ye Taqseem Is Liye Hai Ke Agar Har Neamat Hoti To Ismen KUFFAR, MUNAFEQEEN, Aur FASEQEEN Bhi Aa jate Ke Oon Ko Bhi Allah Taala Ne Dunyawi Neamat Se Nawaza Hai-Rubb Taala Kee Neamat Se Koi Khaali Nahi-
Lekin Choonki  Dunyawi Neamaten FAANI Hain Aur DEENI NEAMATEn BAAQi Lehaza Is Jagah Kaamil NEAMAT Murad Hai-
AYAT KE FAIDE:
Is Ayat  Se Maaloom Huwa Ke Hazrat Abu Bakar Siddiq (Radi Allah Taala Anho ) Kee KHILAFAT HAQQ Hai(SIDDIQEEN).In Par Allah Ka Inaam Huwa, aur Aap Siddiqeen Ke Sardaar Hain, Islam Se Pehle Bhi Aap Ne Buton Kee Pooja Nahi Kee, Mearaj Jismani Kee Aapne Bila Shak o Shuba Tasdiq Kee. Isliye Inka Raasta Maango-
Doosra Is Ayat Mein Ye Taakid Hai Ke Kisi IMAAM KEE TAQLEED Karna SAKHT ZAROORI Hai-Kyunki Is Ayat Mein “SIRAT ALLAZINA” PAR Kifayat nahi hai Balki Ooske Saath Is Raaste Ke Peshwaon Ki Itteba Ko Bhi Talb Karne Ka Bayan Hai- JubTuk Oon Inaam Yafta Nayk Bandon Kee Itteba Nahi Karoge Sirat-e-Mustaqeem Kee Hidayat Nahi Milegi-

IS SE MAALOOM HUWA KE SIRAT-E-MUSTAQEEM BHI ZAROORI HAI AUR IS KA RAHBAR BHI-SAB SE BADI MISAL TABAEEN SE TABA TABAEEN, AUR AB TUK KE TAMAAM NAYK BANDE KISI NA KISI IMAAM KE MUQALLID HEE RAHE HAIN- AAJ BHI GHAIR MUQALLID HAZRAT DEEN KA ILM HAASIL KAR RAHE HAIN APNE USTAD KEE HEE TAQLID KAR RAHE HAIN- 

No comments:

Post a Comment