NA OONKA JIN PAR GAZAB HUWA AUR NA BAHEKE HUWON KA-
Is Se Pehli Ayat Mein
SIRAT-e-MUSTAQEEM Kee Alamat Batayee Gayee
Aur Ismen Tedhe Raaste Ka Pata
Diya Gaya – Taki Oonmen Tameez Ho Jaye – Doosre Ye Ke Pehle Khuda Ke Inaam Ka
Zikr Tha Jisko Soonkar Bande Ke Dill Mein Ummid Paida Huwi Thee, Ab Gazab Ka
ZIkr Huwa, Jis Se Khouf Paida Huwa , aur Imaan Khouf –o-Ummid Ke Darmyan Hai-
Ya Youn Kaho Ke Imaan Ke Do(2) Baazu Hain Ek Khouf, Aur Ek Ummid-Jis Tarah
Parinda Do Bazuon Ke Baghair Nahi Ood Sakta , Isi Tarah MOMIN Baghair Ummid Aur
Khouf Ke Raaste Ko Tay Nahi Kar Sakta In Donon Mein Barabri Chahiye
Teesre Ye Ke Iske Pehli Ayat Mein Oon Logon Ka Zikr Tha Jin Par
Allah Ne Inaam Kiya , Is Ayat Mein Unhi Logon Kee Pehchaan Bataye Gayee – Yaani
Inaam Wale Woh Log Hain jo Khuda Ke Gazab Yaani Bud-aamali aur Zalalat , Yaani
Gumrahi aur Budaitqadi se Bache Huwe Hain- To Mutlab Ye Huwa Ke Inaam Wale Kee
Pehchan Ye Hai Ke Oos Ke Aqaid Bhi Durust Hon aur Aamal Bhi , Yaani Kaafir Bhi
Na Hon Aur Faasiq Bhi-
GHAIR Ke Teen(3)Maani Hain –1)NA-2)SIWA-3)AUR(Other)-Gazab
Ke Lafzi Maani Hain JOSH Aur BADALNA-Ab
Istelah Mein Gazab Oos Halat Ka Naam Hai Jo Dill Mein Badla Lene Ke Khayal Mein
Josh Paida Hota Hai, aur Jismen Ke Ooska Haal Palat Jata Hai- Rubb Taala Kyunki
Dill Aur Dill Kee Halat Ke Palatne Se PAAK Hai isliye Yahan Iske Maani hain IRADA AZAB-Zal Ke Maani Hain Hairat-Jo Shakhsh Hairan Ho Oose
Kehte Hain Zal(Lafz ZALLEEN SE)- Aam Araf Mein Zal Ke Maani hain GUMRAH yaani Bud-Aqida-
Quran Karim Mein Jahan Kahin ANBIYA KRAAM
Ke Mutalliq Zalaal Farmaya Hai Wahan
Lugwi Maani HAIRAT Murad Hai- Jo Shakhsh Kisi NABI Ko Gumrah Jaane WOH KAAFIR
HAi-
Ismen Ikhtelaf Hai Ke
Yahan MAGHZUBE ALEHIM Se Kaun Log Murad Hain Aur ZALLEEN Se Kaun Log Murad
Hain-
TIrmizi Sharif Kee Riwayat Mein Hai Ke MAGHZUBE ALEHIM Se
MURAD YAHUD Aur ZALLEEN Se MURAD NASARA
Hain-
Tafseer KABIR Ne Iske Alawa Chand Aur Maani Bayan Farmaye hain – Ek Ye Ke MAGHZUBE ALEHIM
Se Murad Bud-amal, Faasiq O Faajir Hain aur ZALLEEN Se Murad KUFFAR hain-Doosre
Ye Ke MAGHZUBE ALEHIM Se Murad Khule Kaafir Aur ZALLEEN Se Murad MUNAFIQ Yaani
Chhupe Huwe Kaafir-Jo Log Khuda Ke Munkir Hain Woh Maghzube Alehim Hain aur Jo
Log Khuda Ko Maankar Imaan Kee Doosri Cheezon Ke Munkir Hain WOh ZALLEEN Hain-
AYAT KE FAIDE:
1)Farishte Aur Anbiya Ek Lamhe Ke Liye Bhi Gumrah Nahi Ho
Sakte, Aur Na Kabhi Gunah Karen Jis Se Khuda Ke Gazab Ke Mustahiq Ho Jayen-Isliye
Ke Anbiya Ki Pairvi Karne Ka Hukm Hai, Aur Gumrahon Aur Budaqidon Se Bachne
Ka-Lehaza Is Se ASMAT Anbiya Ka Suboot Mila-
2)Gumrahon , Budmazhabon,Aur Budaqidon Se Door Rehna chahiye
aur Allah Ke Nayk Bandon Kee Sohbat Mein Baithna Zaroori Hai-Jinke Paas IMAAN
Kee Doulat Ho Woh Imaan Ke Choron Se Door Rahen-
3)Is Sureh Ke Shuru Mein Rubb Kee HUMD-o-SANA Ka ZIkr Huwa aur Akhir Mein Ooske
Gazab se Panah-Jis Se Maaloom Huwa Ke Rubb Taala Kee HUMD-o-SANA Nayk Bakhtyon
Kee ASL Hai Aur Bud Aitqadi Aur Budamali Bud-Naseebon Kee Judd.
4) Allah Ke Maqbool Bande Jahan Bhi Hon aur Jub Bhi Guzre
Hon , aur Jaise Bhi Hon SUB EK HEE JAMAAT hain Kyunki Sab Kee Asl Ek Hi Hai- Lehaza Adam Aleh Salam Se Lekar
Qayamat Tuk Ke Saare Maqbool Insha Allah Ek Hee Zamre Mein Hain-Lekin MARDOODIN
–e-Bargah Qism Qism Ke Log Hain-Baaz Woh
Jinki Soorten Bigdi huwi hain-Baaz Woh Jinki SEERTEN Bigdi Huwi Hain-Agarche
Dunya Mein Ye Muttafiq Hokar Rahen Lekin Aakhirat Mein Inka Ittefaq kabhi Na Hoga-
5)DUNYAWI TAKLEEFEN AUR MUSEEBATEN RUBB KA GAZAB NAHI BALKI
YE TAKLIF OOS BHATTI KEE AAG KI TARAH HAI JO SONE KO PIGHLAKAR OOSKE MAYL KO
DOOR KARKE OOSE KHARA BANA DETI HAI-JO DOULAT HAQQ TAALA SE GAAFIL KARDE WOH
RUBB KA GAZAB HAI AUR JO TAKLIF OOSKI YAAD DILAYE WOH OOSKI NEAMAT HAI-
No comments:
Post a Comment