HUM KO SEEDHA RAASTA CHALA:
Is Ayat Ke Pehle Ayat Mein
Zikr Huwa Tha Ke HumTujh Se Madad Maangte Hain- Ye Na Maaloom Huwa Tha Ke Kis
Kaam Mein Ya Kis Amal Mein- Ab Is Ayat Mein Tafseel Farmayee Gayee Hai Ke Tu
HumKo Seedhe Raaste Chala- Is Se Natija Ye Nikla Ke Dunyawi aur Deeni Tamaam Kaamon Mein Allah He
Se Madad Maangi Jaye Magar ISTEQAMAT (Seedhe
Raaste-Mazboot- Mustaqeem) Mein Khaas Tour par-
Doosra Nuqta Is Ayat Mein Ye
Hai Ke Is Ayat Se Pehle Zikr Huwa Ibadat Ka Aur Ab Zikr Hai Dua Ka, Jis Mein
Ishara Ho Raha Hai Ke Ibadat Ke Baad Dua Maangni Chahiye-Is Liye Sunnat Hai Ke
Namaaz Ke Baad Dua Maangni Chahiye-Teesra Nuqta Ab Tuk ArzKiya Tha Ke Khudaya
Hum Teri Ibadat Karte Hain aur Tujh Se Madad Maangte Hain, Ab Arz Kiya Ke Tu
Hamen Seedhe Raaste Par Qaim Rakh-Yaani Ibadat Par Qaim Rakh aisa Na Ho Ke Kuch
Roz Hum Ibadat Karke Chhor Den Balki Hamesha Teri Ibadat Mein Mashghool
Rahen-Yahi Sirat-e-Mustaqeem Hai-
Chunanche Sureh Aal-Imraan
Ayat Raqam (51) Mein Hazrat ISA Aleh Salam Ne Sirat-e-Mustaqeem Ka Jawab Yoon
Farmaya hai:
“ BESHAK MERA TUMHARA SAB KA RUBB ALLAH HAI TO
OOSI KI IBADAT KARO YE HAI SEEDHA RAASTA”
“(INALLAHA RABBI WA RABBUKUM
FA’AABUDUHU- HAZA SIRATUNM – MUSTAQEEM”
Choutha Nuqta Ye Ke Allah Hum
Ko Is Tarah Se Ibadat Kara Ke Teri Bargah Mein Qubool Ho Jis Tarah Tere Maqbool
Bandon Ne Ibadat Kee Hai-Aisa Na Ho Ke Dunyawi Rahat Ke Mouqon Par Teri Ibadat
Se Ghafil Ho Jayen, aur Kabhi Ibadat
Mein Mushaqqaten Hon To Ibadat Se Munh Na Moden-
Panchwa Nuqta Ye Hai Ke Ibadat
Ke Baad Hidayat Ki Dua Isliye Hai Ke Bina Hidayat Ke Ibadat Manzil-e-Maqsood
Tuk Nahi Pahunchati- Bade Bade AABID Zandeeq Ho Gaye-IBLEES, Balaam Bin
Baura’a, Barsee’aya, Pehle Ye Log Awwal Darje Ke Aabid Thay-
Tafseer TAYSEER Mein Hai Ke
IYYAKANABUD Mein Touhid Ka Izhaar Hai-IYYAKANASTAEEN Mein Touhid Kee Imdaad
Talb Karna Hai aur” Ehdinas-Sirat Al-Mustaqeem” Mein Deen Par Saabit Rehne Ke
Isteda’a-Isi Liye Isko Tamaam Anbiya Kraam Alehum Assalam, aur Auliya-e-Kraam
Alehum Al-Rizwan Ne Talb Farmaya Hai-
1)Tawaffini Musliman ( Ai
Allah Mujhe Musalman Fout Karna)-
2)Sahaba Kraam Ne Arz
Kiya’Tawaffana Mua-al-Abraar-Ai Allah Hamen Abraar Ke Saath Fout Karna-
Ye Isteda’a Hai Ke Zaahir
Haal Par Aitmad(Bharosa) Na Kiya Jaye Anjam Kabhi Bhi Tabdeel Ho Jata Hai Jaisa
Ke Iblees Wa Ghaiehum Ka Huwa-
Allama Raghib Asfahani HIDAYA
ke maani bayan karte huwe farmate hain:
Allah Taala Ne Insaan ko
Chaar Qism Kee Hidayat Ata Farmayee hai:
1)Aqal-o-Shaoor Ki
Hidayat(Jis Ne Har Cheez Ko Ooski Makhsoos Banawat Ata Farmayee Phir Hidayat
Dee-Sureh Ta-Ha-Ayat -50)
2)Anbiya alehum Asslam Kee
Zabanon se Aur Aasmani Kitabon Se Hidayat Ata Farmayee(Aur Hum Ne Unko Peshwa
Banaya , Woh Hamare Hukm Se Hidayat Karte Thay-Sureh Al-Anbiya- Ayat -73)-Ye
Ayat Saabit Karti Hai Ke Allah Taala Ne Hidayat ka Zariya Paida Farmaya hai-
3)Toufiq-e-Ilaahi Jo Hidayat
Yafta Logon Ke Saath Makhsoos Hain(Aur Jin Logon Ko Hidayat KeeToufiq Mill
Gayee, Allah Taala Ne Oonki Hidayat Ko Zyada Kar Diya Aur unhen oonka TAQWA Ata
Farmaya(Sureh Muhammad(Salallaho Alehe Wasallam – Ayat-17)-
4)AAKHIRAT MEIN JANNAT KEE
TARAF PAHUNCHANA(Jannati Kahenge Allah Hee Ke Liye Sab Taarifen Hain Jis Ne
Humko Yahan Tuk Pahunchaya(Al-Aaraf-43)-
YE CHAARON HIDYATEN TARTIB
WAAR HAIN Kyunki Jis Cheez Ko Hidayat Kee Pehli Qism Haasil Nahi
(Aqal-o-Shaoor) Ooski Baaqi Iqsaam Bhee Haasil Nahin-Jaise Haiwanat(Animals)
Jisko Doosri Qism Kee (2nd)Hidayat
Haasil Nahi Oose Baaqi (Teesri Chouthi) Qism Ki Hidayat Nahi(Ismen Ashkaal
Hai—Yaani Anbiya Ab nahi Honge- Balki Deeni Peshwa)-
Jiski Teesri Qism Kee (3rd)
Hidayat Nahi Jaise KUFFAR oosko Chouthi Hidayat Haasil Nahi-
AUR JISKI CHOUTHI QISM KI
HIDAYAT HAASIL HOGI---TO---OOSE BAAQI KEE TEEN BHI HAASIL HO CHUKI HOGI –ISI LIYE
TO WOH JANNATI HUWA –HAI NA?SUBHAN ALLAH—Isi Liye Allah Kee ATA Ko Maano-Allah
Ki Taraf Se Zariye Ko Maano-Yahi Madad Asl Madad Aur Hidayat Hai-
No comments:
Post a Comment