Friday, February 12, 2016

Quran Paak Ke Naam

Jaisa Ki Shuru Tafseer Mein Bayan ho Chuka Hai Ke Sureh Al-Baqrah Ki Har Ayat Ka Shaan-e-Nuzool Bayan Hoga, Quraan Paak Ka Baqya ( 31) Naam Ka Bayan Iske Baad Hoga.

HURUF MAQTA’AT KA SHAAN-e-NUZOOL:

Mushrekin Arab Nuzool Quran Ke Waqt bakwas Bakte Thay To allah Taala ne Apni Hikmat Ke Tahat In Maqta’at Ko Naazil Farmaya Taaki Oonke Khayalat Naazil Karda Kalaam-e-Ilaahi  Ki Taraf Mayl Kare- Phir Jub Ye Mushrekin Arab Woh Soone To Ikhtelaf Na Karen-Aur Insaani Fitrat Ka Taqaza Hai Ke Har Ajeeb Ghareeb Cheez Ki Taraf Mayel Hota Hai-Phir Laghuyat(Bakwas) Se Munh Pher Kar Oos taraf Dhyan Deta Hai- Aur Maqsood Bhi Yahi Tha-Ke Kuffar Arab Laghuyat Se Hutkar  Quran Paak Ke Woh Ehkaam Soonen Jo Huruf Maqtaat Ke Baad Aane Wale Hain Taaki Oonke Khayalaat Huruf Maqta’at  Aur Murakkbat(Compound Sentence Jo Huruf Maqta’at Se Milkar Bane hon)Mein ho jaye-Aur Allah Taala Ne Unhen Is Ilm-e-Maqta’at Se Mehroom Rakha Jis Se Oonka Bahut Bada Shurr Dafa ho Gaya- Ye Mominon Ke Liye Rehmat Ka baes Huwa Aur Hikmat-e-Ilahi Ka Zahoor Huwa-(Tafseer Rooh Al-Bayan)-

QURAN PAAK KE BAQYA NAAM :

3)AL-FURQAAN: Ye lafz Farq Se Bana Hai Iske Maani Mein Farq Karne Waali Kitab- Ke Haqq-o-Baatil- Jhoot Aur Such, Momin Aur Kaafir Mein Farq Samjhane Wali Kitaab-Allah Paak Ne Bandon Ke Seenon Mein Kufr-o-Imaan , Hidayat, Gumrahi, Ke Mukhtalif Beej Rakhe-Nuzool Quran Se Pehle Sab Yaksaan(Same) Maaloom Hote Thay – Siddiq Wa Abu Jahal- Farooq Wa Abu Lahab Mein Farq Nazar Nahi Aata Tha- Al-Furqaan Naazil Hokar Khara Khota Alaihda Kar Diya-Siddique( Razi Allah Taala Anho) Ka Imaan Aur zandeeq Ka Kufr Zaahir Farma Diya Lehaza Iska Naam Al-Furqaan Huwa-
4)ZIKR-O-TAZKARA: Ye Kitab Ilahi Allah Ki Neamaton Ki Yaad dilate Hai Isliye Ise Zikr Karne Wali Aur Tazkara Karne Wali Kitab Kehte Hain-
5)TANZEEL: Iske Maani Hai Ootari Huwi Kitaab Kyunki Ye Kitab Bhi Rubb Ki Taraf se Utaari Huwi Hai-
6)HADEES: Nayee Cheez YA Kalaam Kyunki Ye Dunya Mein Agli Tamaam Kitabon Aur sahifon Ke Baad aaya, nez Ye padha Huwa Aaya Na Ki Likha Huwa Isliye Ye Baat(allah Ka Kalaam) Hai-
7)HIKMAT: Ye Hakam Se Bane Hai Iske Maani Mazboot Karna, Laazim Karna, Aur Rokna, Kyunki Mazboot Isliye Ke Koi ismen Tehrif Na Karsaka, Laazim Isliye Ke Kisi Ne Ise Mansookh(Reject) Na Kiya, Rokna, Yaani Buri Baaton Se-
8)SHAFA’A: Isliye Kehte Hain Ke Ye Zaahiri Aur Batini Beemariyon Se Sab Ko Shifa Dene Wali Kitab Hai-
9)HUDA: Haadi Isliye Kehte Hain Ke Ye Kitaab Logon Ko Hidayat Karti Hai-

10)SIRAT-e-MUSTAQEEM: Isliye Kehte Hain Ke Is Kitab Ko Padhkar Is Par Amal Karne Wala Apni Manzil Par Aasani Se Pahunch Sakta Hai-

No comments:

Post a Comment