12)HABAL: Habal Ke Maani Hain RASSI , Rassi Se Bikhri Huwi
Cheezon Ko Bandhte HAin- Quran Ki Taalim Har Bikhre Huwe Bhatke Huwon Ko Ek
Saath Bandhti Hai, Quran Ki Barkat Se HAqq Taala Tuk Pahunchte HAin-
13)REHMAT: Isliye Ke Ye Aisa Ilm Hai Jo Gumrahiyon Se
Nikalta Hai- Lehaza Haqq Taala Ka Tamaam Makhlooq Par Rehmat Hai-
14)ROOH: Rooh Ka Kaam Hai Jism Ko Baaqi Rakhna-Rooh Hazrat
Jibrail Aleh Salam Ki Moarfat Aayee-Muslim Ko Shayateen Aur Kufr Se Bachata
Hai-Aur Musalmanon Ki Rooh Ko Sanwarta Hai-
15)QASAS: Qisee- Ye Hai Hakayat Aur Kisi Ke Peechhe
Chalna-Quran Paak Ne Anbiya Aur Doosri Qoumon Ke Qisse Bayan Farmaye-Aur Log Is
Ke Peechhe Chalte Hain, Deen-o-Dunya Ki Kamyabi
Ke Liye-
16)MOGHTATAH:Iske Maani Hain Naseehat Karne Wala- Quran Paak
Sab Ko Naseehat Karne Wali Kitaab Hai-
17)BASAYER: (Plural Of Baseerat)Yahan Iske Maani Hain Dilon
Ko Roshan Karne Wali Kitab-Jabki Basarat
Aankhon Ke Noor Ko Kaha Jaata Hai-
18)FASAL: Faisla Karne Wali Aur Juda Karne Wali Kitab-
Chunki Ye Aapas Ke Jhagdon Ka Faisla Karne Wali Kitab Hai Aur Imaan Ko Kufr Se
Juda Karne Wali Kitab Hai-
19)NUJOOM: Iske Maani Hain Sitaare(Plural Of
NAJAM-SITAARA)Aur Hisse Bhi- Kyunki Is Muqaddas Kitab Ki Ayaten Alaihda Alaihda
Aayen, Aur Taaron Ki Tarah Logon Ko Raasta Batane Wali Kitab Hai-
20) MASAANI: Plural Of MASNA-Jiske Maani Hai Baar Baar-Iske
Ehkaam Aur Qisse Baar Baar Aaye Hain-
21)NEAMAT: Jiske Maani Hum Sabhi Ko Zaahir Hain- Allah Ki
Bahut Badi Neamat-
22)BURHAAN: Jiske Maani Hain Dalil Ke Ye Kitaab, Allah <
Anbiya Aur Tamaam Rasoolon Ke Sadq Ki
Dalil Hai-
23)BASHIR-o-NAZIR: Ye Kitaab KhushKhabri Deti HAi Aur Boore Kaamon, Gunahon, Kufr Se
Darane Wali i Bhi Hai.
24)MOHAYMAN:Amanat DaarYa Mohafiz,Ye Kitaab Musalmanon Ki
Dunya Wa Aakhirat Mein Mohafiz Hai-Rubb Taala Ke Ehkaam Ki Amanat Daar, Nabi
Ameen Par Naazil Huwi- Aur Tamaam SAHABA KRAAM (Razi Allah Taala Anhum Ajmaeen)
Ke Haathon Mein Rahi Jo Ke Allah Ke
Ameen Hain-
25)NOOR: Jo Khud Bhi Zaahir Ho Aur Doosron Ko Bhi Zaahir
Kare-Quran Paak Khud Bhi Zaahir Hai Aur Takhliq Kainaat Se Lekar Qayamat Tuk
Sabhi Cheezon Ko Zaahir Farmane Wali Kitab Hai- Allah Ke Ehkaam ko Zaahir
Farmaya- Aur Jin Logon Ko Zaahir Na Kiya Woh Chhup Gaye-
26)QAYM: Iske Maani Hai Qaim Qaim Rehne Wali Aur Qaim Rakhne
Waali- Ye Kitab Deen Ko Qayamat Tuk Qaim Rakhne Waali Hai Aur Allah Taala Ko
Isi Liye Qayyum Kaha Jaata Hai-
27):HAADI:Iske Maani Bhi Zaahir Hain-Hidayat-
28)HAQ: Maani Hain Sachchi Baat- Against(Bamuqabil) Baatil-
Ye Kitaab Sachchi Baat Batata Hai Sachche Ki Taraf se Naazil Huwi- Sachche Par
Naazil Huwi, Isliye Haqq Hai-
29)AZEEZ: Jiske Maani Hain Ghaalib-Yani sab Par Ghaalib Hai
Aur Be-Misaal Hai-
30)KARIM: Jiske Maani Hain Sakhi- Quran Paak Allah Ka Ilm,
Allah Ka Kalaam, Allah Ki Rehmat, Aur
Be-Hisaab Sawaab Deta Hai Is Se Badhkar Aur Kaun Sakhi Ho Sakta Hai?
31)AZEEM; Yaani Bada Ye Kitab Sab Se Badhkar Azeem Hai-
32)MUBARAK: Yaani Barkat Wali Kitaab-
33)MOHAKKAM: MAZBOOT-Ye Kitaab Mazboot Karne wali Hai Lafz
Hakam, Se Bana Hai-
(TAFSEER KABIR)-
No comments:
Post a Comment