Saturday, February 13, 2016

HUDAN LIL-MUTTAQEEN

PARHEZGARON KO  HIDAYAT HAI-

Allah Taala Ne Hidayat Kee Shart Rakha Hai MUTTAQI Hona- Jub Bunda Pancho Waqt Namaaz Mein Ehdinas-Sirat Al-Mustaqeem Padhta Hai(Jo Allah Ki Bargah Mein Bande Kee Arz Hai)
- To Allah Taala Ka Jawab Fouran Sureh Al-Baqrah Mein Hudan Lil-Muttaqeen-Ke Hidayat To Hai Lekin Pehle Muttaqi Bun Jao-
Is Ke Pehli Ayat LARAIB Mein SHIYAON KA BHEE Rudd Ho Gaya-Quran Karim Shak Se Oos Waqt Mehfooz Ho Sakta Hai Jub Iske Laane Wale Jibrail Aleh Salam, Leney Wale Hazrat Muhammad Salallaho Alehe Wasallam, Aur Ise Hum Sab Tuk Pahunchane Wale, Phailane Wale Sahaba Kraam Razi Allah Taala Anhum Ajmaeen Sab Ke Sab  KHAYANAT Se Mehfooz Hon-Agar Ye Tamaam Bargazeda Hasti Sachche Na Hon To Quran Mein Ye Shak O Shubah Hoga Ke Sahaba NE Ghalat Jama Kiya Ho- Maaz Allah-
Hidayat Ke Maani Hain Hifazat Aur Parda-Shariyat Mein TAQWA Oose Kehte Hain Ke Insaan Oon Kamon Se Bache Jo Ooske Liye Aakhirat Mein Nuqsan-da Saabit Hon-To Hudan Lil-Muttaqeen Ke Ye Maani Huwe Ke Quran Karim Oon Logon Ko Hidayat Dene Wala Hai Jo Parhezgaar Hain(Muttaqi Hain)-

TAQWA Ke Teen Darje Hain:

  1. Ek Daimi Azab Se Bachna Jo Kuffaron Ke Liye Hai-- Is Lehaz Se Har Musalman Muttaqi Hai-
  2. Aam Gunahon Se Bachna- Is Lehaz Se Parhezgaar Log Muttaqi Hain
  3. Oos Cheez Se Bachna Jo Haqq Taala Se Roke-Is Lehaaz Se Auliya Allah(Rehmahum Allah) Aur Anbiya Kram(Alehum Assalam) Muttaqi Hain –

Aakhri Darje(Third) Ki Do Soorten Hain :
i)Dunyawi Cheezon Se Be-Talluqi Rakhi Jaye-Jaise Hazrat Isa Aleh Salam Ne Karke Dikhaya-
ii)Talluq Sab Se Ho Magar DILL Ka Talluq Rubb Taala Se Ho- Jaisa Ke Huzur Ghous Paak, Aur Oon Tamaam Auliya Allah Ka Tariqa Mubarak Raha Jo Dunyawi Karobar Se Talluq Rakhte hain- Aur Jaisa Ke Hazrat Suleman Aur Yusuf Alehum Assalam Ne Amal  Farma Kar Zaahir Farmaya-
Quran Majid Har Darjah Ke Muttaqi Ke Liye Oosi Ke Laiq Hidayat Hai-
1)Aam Logon Ke Liye ISLAAM Aur IMAAN Ki Hidayat Hai
2)Khaas Logon Ke Liye EEQAAN (Yaqeen) Aur EHSAAN Ki Hidayat-
3)Khaas-ul-Khaas Hazraat Ke Liye Hijaab Door Karne Aur Jamaal Yaar Ke Mushahede Ki Hidayat-
TAQWA Quran Paak Mein Kai Maani Mein Aya Hai-
IMAAN- TOUBA- FARMANBARDARI-GUNAH CHHORNA-IKHLAAS- KHOUF-e-KHUDA BHI TAQWA HAI-
KHOUF Do Tarah Ka Hota Hai- Woh Khouf Jo Mouzi Cheezon Se Hota Hai Jaise Saanp Bichchu Waghaira-Chor Dakuon Ya Dunyawi- Is Khouf Mein Nafrat Aur Bhagna Hota Hai Jis Se Durr Kar Insaan Bhagta Hai-
Doosra Taqat Aur Qudrat Ka Khouf Jo Sultan Se Hota Hai-Qudrat Ke Khouf Mein ATA’AT Hoti Hai-
QUDRAT Ka Khouf Do Qism Ka Hota Hai- Na Ummidi Ka Khouf Aur Ummid Ka Khouf-

Na-Ummidi Ka Khouf Gunah Par Hamen Diler Karta Hai Yaani Jub Insaan Qudrat Se Na Ummid Hota Hai To Gunah Kar Baithta Hai- Aur Ummid Ke Saath Jo Khouf Hota Hai woh gunah se Bachata hai- Rubb Taala Se Ye Doosra Khouf Chahiye Isliye Ke Allah Paak Ne Quran Karim Mein Gunahon Se Daraya Bhi Hai Aur Achchi Ummid Bhi Dilayee Hai----yahi hai haqiqi---HUDAN LIL-MUTTAQEEN---- 

No comments:

Post a Comment