Woh Jo Be-Dekhe Imaan Laaye
Allah Paak Ka Pehle Farman Quran Karim Parhezgaron Ke Liye
Hidayat Hai Ab Bataya Ja Raha Hai Ke Parhezgar ( Yaani Muttaqi) Log Kaun Hain-
Islam Laane Ke Bad Ek Banda Deen Islam Mein Dakhil Ho Kar
Musalman To Bun Gaya Par Imaan Wala Nahi – Imaan Oosi Waqt Layega Jub Woh
Muttaqi Hoga Isi Liye Is Ayat Mein Pehle Muttaqi Aur Baad Mein Imaan Ka Zikr Huwa- Kyunki
Imaan Tamaam Naykiyon Ki Judd Aur Asl Hai- Agar Imaan Qaim Hai To Nayk Aamal
Faida Denge Warna Nahi-Isi Liye Dill Se Imaan Lao- Dil Ka Naqsh Wa Nigaar
Achche Aamal Hain Aur Ye Naqsh Wa Nigar Oosi Waqt Dill Par Sajega Jub Ise IMAAN
Ki Rehmat Ke Paani Se Dhokar Saaf Kiya Jaye-(Misal Aap Salallaho Alehe Wasallam
Ka Qalb(Dill)Farishton Ne Aab-e-Zamzam Se Dhokar Paak Kiya-Lekin Momenin Ke
Liye Qalb Ki Safayee Imaan Bil-Qalb Hai- Yaani Tasdiq Kee Jaye Ke Allah Taala
Ek Hai Oos Ka Koi Sharik Nahi – Allah Ke Rasoolon Par Dil Se Imaan Laya Jaye Na
Oonki Shaan Mein Koi Gustakhi Ho Na Unhen Apne barabar samjho – Allah Ke
Farishton Par Imaan Lao Allah Ki Tamaam Kitabon Par Imaan Lao-Aur Is Tarah IMAAN Lao Ke Musaddiq(Allah Taala) Khud
Tumhare Momin Hone Ki Tasdiq Karde-
YOUMENOON Imaan Se Juda Hai- Imaan Ke Lughwi Maani Hai AMAN
Dena- Chunki Momin Apne Acche Aqide Ikhtiyar Karke Apne Ko Hamesha Ke AZAB Se
Aman De Leta Hai- Isliye Acche Aqidon Ke Ikhtiyar Karne Ka Naam IMAAN Hai-Imaam
bayhaqi rehmat Allah Taala Aleh Ne Imaan Ke Kul &0Se Zaid Shoabe Bayan
Farmaye-( For Detail Join My Group
Dawat-e-Deen FB)-
Quran Karim Mein Musalmanon Ko Momin Kaha Gaya hai , aur
RUBB TAALA Ko Bhi-Lekin Musalmanon Ke Momin Ke Ye Maani Hai Ke Woh apne Aap Ko
Dayemi ( Aakhirat) Ke Azaab Se Aman Detey hain- Aur Allah Taala Ke Momin Hone
Ke Ye Maani Hai Ke Allah Taala Apne Nayk Aur Saleh Bandon Ko Oos Dayemi Azab Se
Aman De-
SHARIAT Mein Imaan Ke Maani Ye Hain Ke Jin Baaton Ka Yaqeen
Deen Muhammadi ( Salallaho Alehe Wasallam)Se Ho Jaye Yaani Tasdiq Oon Sab Ko
Dill Se Yaqinan Man-na Aur Zabaan Se Iqraar Karna-Lekin Dili Tasdiq Asl IMAAN
Hai-Aur Iqraar Ehkam ISLAMI JAARI KARNE KEE SHART-
Agar Koi Shakhsh Aqida Durust Rakhta Ho Aur Aamal Nahi Karta
Ya Boore Aamal Karta Ho Woh Momin Hai Deen Se Kharij Nahi Hota Isliye Ke Imaan
Ke Baad Namaaz Wa Doosre Aamal Ka Zikr Huwa-Agar Aamal Imaan Ka Juz Hote To
Imaan Ke Baad Aamal(Wa Yuqimunassalat) Ka Zikr Na Hota-
Doosri Taraf Agar Namaazi Parhezgar Ke Aqide Bigde Huwe Hon
To Woh KAAFIR Hain Kyunki Quran Karim Ne Irshad Farmaya”WA IN TAIFATANE MIN-AL-MOMENINA
AQTATLO FA-ASLEHO BAINAHUMA(part of Sureh Al-Hujrat Ayat # 9) –Agar Musalmanon
Ke Do(2) groh Aapas Mein Laden To Oon Mein Sulah Karado –Phir Agar Ek Doosre
Par Zyadati Kare To Oos Zyadati Karne Wale Se Lado Yahan Tuk Ki Woh Allah Ke
Hukm Ki Taraf Palat aaye-(Tarjuma KANZ-ul-IMAAN Aala Hazrat)-
Quran Karim Farmata Hai Agar Tum Ne Hamare Nabi Ki Aawaz Par
Apni Awazen Oonchi Kardeen To Tumhare aamal Barbaad Ho Jayenge- Aajkal Ke naye
Firqe Sirf aawaz Hi Nahi Balki Apne Nabi
Ki Shaan Mein Kaafi Gustaakhiyan karte hain-isliye Imaan Ke Saath Saath aamal
Bhi Zaroori hain-
ISLAAM AUR IMAAN MEIN FARQ:
Islam ke maani hai Sar Sajdeh Mein Rakhna Yaani Atat Karna
Islaam Mein Aamal Ko Zaahir Karna Moatbar Hai-
IMAAN Chhupi huwi Cheez Hai – Agar Kisi Ke AQAID Durust na hon
Aur Woh Apne Aap Ko Momin Kehta Hai Jaise Munafeqeen To Woh Muslim Hoga Momin
Nahi- Jis Shakhsh Ke Aqaid bhi Durust , Iqraar Bhi Karta Hai Lekin Amal Kharab
woh FASIQ Hai. Jiske Aamal Bhi Durust Woh Muttaqi Hai-Oos Ne Allah Taala Ki Is
Ayat Ki Shart Ko Poora Kiya-(Hudan Lil-Muttaqeena Allazina Youmenoon).
JAANNA Aur PEHCHANNA Kuch Aur Hai Aur Manna Kuch Aur – KUFFAR
MAKKAH Huzur Ko Pehchante thay par
Mantey na thay isi liye Kuffar Rahe-
Manna Bhi Teen Qism Ka Hai –DURR SE MANNA- LALACH SE MANNA
DILI MOHABBAT SE MANNA
PEHLE DO QISM MUNAFEQEEN KE AAMAL THAY ISLIYE WOH IMAAN WALE NAHI KEHLAYE –DILL SE
MANNA IMAAN HAI WAHI IS AYAT MEIN MURAD HAI-
QURAN KARIM FARMATA HAI”YAAREFOONAHO KAMA YAAREFOON
ABNA’AHUM”-
Jaise Aajkal Ke Gumrah Firqe Aap Salallaho Alehe Wasallam Ko
Jaante Hain Pehchante Hain Par Dill Se Nahi Maante-
No comments:
Post a Comment