QUBOOL FARMALE
Ye Quraan Paak Ki Ayat Nahi Hi Isliye Is Ko Quraan Paak Mein nahi Likha Gaya- Sunnat Ye Hai Ke Sureh
Al-Fateha Ke Baad Tilawat Karne Wala Aur
Soon-ne Wala AAMEEN Keh Liya Karen isi
Tarah har Dua Ke Baad Aameen Kehna Sunnat Hai-Hazrat Jibrail Aleh Salam Ne Huzur Salallaho Alehe Wasallam se Arz Kiya
Ke Fateha Ke Liye Aameen Aisi Hai Jaise
Kisi Kitaab Ke Liye MOHAR- Sayyeduna Ali
Razi Allah Taala Anho Ne Farmaya Ke Aameen Rubb-Al-Alamain Ki MOHAR Hai-Jis Se
Apne Bande Ki DUA Par MOHAR Lagata Hai- Hazrat WAHAB Razi Allah Taala Anho
Farmate HAin Ke Aameen Mein Chaar Hurf Hain , Aur Aameen Kehne Wale Ke
LiyeChaar Farishte Dua-e-Maghfirat Karte Hain-(Tafsir Rooh-Al-Bayan)-
Imaam Raazi Tafsir Sureh Al-Fateha Mein Farmate Hain Ke
Shaitan Oos Dua Se Mayoos Ho Jata Hai Jis Ke Aakhir Mein Aameen Keh Di Jaye-
Kyunki Shaitan Samajhta Hai Oospar MOHAR Lug Chuki Hai Mein Tod Nahi Sakta-Hadis
Paak Mein Hai Ke Jub Imaam Walazzalleen
Kahe To Toom Aameen Kaho Kyunki Farishte Bhi Oos Waqt Aameen Kehte Hain – Jiski
Aameen Farishton Ki Aameen Ke Mowafiq Ho Gayee Ooske Tamaam Gunah Bakhsh Diye
Jayenge-
Isliye Haqq Taala Ne Musa Wa Haroon Alehum Salaam Se Farmaya “Tum Donon Ki Dua Qubool
Kar Lee Gayee” Halanki Faqat Musa Aleh Salam Ne Dua Kee Thi Aur Haroon Aleh
Salam Ne Ameen Farmayi Thi-Maloom Huwa
Ke Rubb Taala Ne Aameen Ko Dua Farmaya-
Huzur Salallaho Alehe Wasallam Ne Iske Quraan Hone Ki Khabar
Na Dee- Kisi Sahabi Ya Kisi Tabaee Ne Ise Quraan Na Kaha, Aur Ise Quraan Mein
Likha Bhi Na Gaya-Is Se Saabit Huwa Ke Aameen Quran Nahi Balki Dua Hai-KYUN Aur
KAISE?????- Aise Ke Ye Allah Taala Ne Nahi Farmaya Balki Bande Apne Rubb Ke
Huzur Arz Kar Rahe Hain Ke AAMEEN( Yaani Qubool Farma Le)-Jabki Quran Mukammal
Allah Taala Ka Farman Hai-
Quran Karim Farmata Hai “UDOO RABBAKUM TAZARRUAN WA KHUFYAT”
Yaani Apne Rubb Se Aajzi Ke Saath Aur
Chupke Se Dua Karo Jis Se Maaloom Huwa Ke Dua Dill Mein Karni Chahiye Aur
aameen Bhi Chunki Dua Hai Dill Mein Ahista Se Kehna Chahiye-
Quran Karim Farmata Hai “AI MEHBOOB JUB MERE BANDE AAP SE
MERE BAARE MEIN DARYAFT KAREN TO FARMA DO MEIN BAHUT QAREEB HOON QUBOOL KARTA
HOON DUA KARNE WALE KEE DUA KO”-
Is Ayat Se Bhi Yahi Zaahir Huwa Ke Dua KArne Wala CHEEKHNE
CHILLANE Ki Zehmat Gawarah Na Kare- Pookar Se Oos Se Koi Cheez Maangi Jati Hai
jo Door Ho-Allah To Shah-e-Rug Se Bhi Zyada Qareeb Hai Oos Se Dua Ahista Karo-
Hadis Ke Maani Bhi Yahi Hai Ke Farishton Ki AAMEEN Ke
Muwafiq Hona Kaifyat Se Hai- Na Ki Aawaaz Se Aur Waqt Se Kyunki Na Hi Hum
Farishton Ke Ameen Ko Soon-te Hain Na Hi Oonke Aameen Ka Waqt Jaante Hain-
GHAIR MUQALLEDIN KE AITRAAZ KA JAWAB:-
1)Awwal Ye Ke Quran Paak Ne Dua Ahista Maangne Ka Hukm Diya
–
2)Huzur Salallaho Alehe Wasallam Ki Aawaz Par Apni Awaaz
Oonchi Karna Haraam Hai Lehaza YE Kehna Ke Masjid Ameen Ki Awaz Se Goonj Jaati
Thi Is Ayat Ke Khilaf Hai” LA TARFAOO ASWATAKUM FOUQ SAUT AL-NABI”-huzur ki
awaz par apni awaz oonchi na karo-(oos waqt masjid Nabavi Kachchi Thi Isliye
Awaz Ke Goonjne Ka Sawal Hi Paida Nahi Hota Awaaz Wahin Goonjti Hai Jahan Pukhta
Imarat Ho-
3)AameenKe Alawa Jis Qadr Namaaz Mein Duaen Hain (Dua
Qunoot- Dua Masoora Waghaira) Tamaam Ahista Hi Padhi Jaati Hai-
4)JAHRI NAMAAZ MEIN AAMEEN KI AWAZ GOONJE AUR SIRRI NAMAAZ
MEIN AMEEN DILL MEIN HI PADHE YE IKHTELAF HAI-
5)NASARA APNE KANISA MEIN IBADAT KE DOURAN ZOR SE AAMEEN
KEHTE HAIN LEHAZA AAMEEN KO OONCHI AAWAZ SE PADHNA NASARA KE MUSHABEHAT HAI-
5)JUB ALLAH TAALA SHAH-E-RUG SE QAREEB HAI TO CHILLANE KI
ZAROORAT KYA HAI ISLIYE KE TUM YE QAID LAGA RAHE HO? PHIR AULIYA ALLAH SE
MADAD AAPKE LIYE JAIZ KYUN NAHI? OOS
WAQT GHAIR MUQALLEDIN KO ALLAH SHAH-E-RUG SE QAREEB YAAD AA JATA HAI?
No comments:
Post a Comment