Aur Tujh Se Madad Maangen
WA IYYAKANASTAEEN:-
JUB TUM NE QURAN PAAK MEIN RUBB SE YE WAADA KARLIYA KE HUM
TUJH HI SE MADAD MAANGTE HAIN , TO NABIYON AUR WALIYON SE KYUN MADAD MAANGTE HO
YE SHIRK HAI-
ANBIYA AUR AULIYA ALLAH SE IMDAD LENA HAQIQAT MEIN RUBB SE
IMDAD LENA HAI-ALLAH KI MADAD DO TARAH KI HAI – BIL-WASTA, BILA WASTA-ALLAH KE
BANDON KI MADAD RUBB KE FAIZAN KA WASTA HAI(RUBB KE FAIZ SE)-
QURAN KARIM NE GHAIR KHUDA SE IMDAD LENE KA KHUD HUKM
FARMAYA HAI:-
·
AGAR TUM ALLAH KE DEEN KI
MADAD KAROGE TO ALLAH TUMHARI MADAD KAREGA.
·
ZUL-QARNAIN KA QOUL” TUM
LOG MERI MADAD KARO APNI QUWAT SE.
·
HAZRAT ISA ALEH SALAM NE
FARMAYA”MERA MADADGAAR KAUN HAI ALLAH KI TARAF”.
·
ALLAH PAAK KA FARMAN “EK
DOOSRE KI MADAD KARO BHALAYEE AUR PARHEZGAARI PAR”.
·
SAHABA KRAAM KI EK JAMAAT
KA NAAM HAI”ANSAAR” JISKE MAANI HAIN MADADGAAR. AGAR GHAIR KHUDA SE MADAD LENA SHIRK HUA TO YE NAAM HI MUSHRIKANA HUA-HALANKI
UNHEN YE LAQAB RASOOL ALLAH(SalAllaho Alehe Wasallam ) NE ATA FARMAYA.AUR QURAN
KARIM NE BHI UNKO ISI LAQAB SE YAAD FARMAYA.
·
ISAIYON KO QURAN KARIM NE
NASARA KE NAAM SE YAAD KIYA JISKE MAANI HAIN MADADGAAR.
KHUD GHAIR MUQALLEDIN APNI HAZARHA MUSEEBATON MEIN POLICE
KACHEHRI, HUKUMAT , DAAK KHANA WAGHAIRA SE MADAD LETE HAIN (AB KAHENGE KI ZINDA
LOGON SE MADAD JAIZ HOTI HAI)TO OON MEIN SE KOI MUSALMAN NA RAHA-
MADRASA DEVBAND MUSALMANON SE HI CHAL RAHA HAI-INSAAN
PAIDAISH SE QABR TUK MADAD KA MOHTAAJ HAI-DAYEE YA NURSE KI MADAD SE PAIDA HUA,
MAAN BAAP KI MADAD SE PARVARISH PAYEE-TABIB KI MADAD SE SHIFA PAYEE-USTAAD PEER
KI MADAD SE IMAAN MILA, QURBAT DAARON KI MADAD SE NAZA’A KE WAQT KALIMA NASEEB
HUA- MUSALMAN BHAIYON KI MADAD SE KAFAN DAFAN NASEEB HUA-PHIR MUSALMANON KE
KANDHE PAR QABRASTAAN PAHUNCHA, AUR MUSALMANON KI MADAD SE HI QABR MEIN
ISAAL-E-SAWAB PAHUNCHTA RAHA-AB KOI KIS MUNH SE KEH SAKTA HAI KI GHAIR KHUDA SE
IMDAAD LENA SHIRK HAI?
JAHAN MADAD KO KHUDA KE SAATH KHAAS KIYA GAYA HAI , WO
HAQIQI MADAD HAI, AUR JAHAN GHAIR KHUDA SE MADAD LENE KA HUKM HAI WO BA-WASTA
HAI-QURAN SHARIF SAMAJHNE KE LIYE HIJJAZI KARKHANE KI AINAK , AUR IMAAN KA NOOR
CHAHIYE---NAJDI AINAK RAHI SAHI AINAK BHI PHOD DEGI-
(TAFSEER NAEEMI-)
Hadis Sharif mein Irshad hai k Allah Azz o Jaal Farmate
hain:-
“ MEIN NE SUREH FATEHA KO APNE AUR APNE BANDON KE DARMYAN
NISF NISF TAQSEEM FARMAYA”- Nisf Awwal
mere liye aur Nisf Aakhir mere Bandon ke liye hai-
·
Jub Banda Surah Fateha ki
pehli Teen Ayaton ko Padhta hai to Allah paak Farmata hai mere Bande ne Meri
TAMJID(Yaani Buzurgi Bayan) Ki-
·
Aur jub Beech ki Ayat “IYYA
KANABUDU WA IYYA KANASTAEEN” Padhta hai , Irshad Farmata hai ye Aadhi mere liye
hai ayr Aadhi mere Band eke liye
·
Jub Aakhir ki Teen Ayaten
padhta hai Irshad Farmata hai” YE MERE
BANDE KE LIYE HAI , AUR MERE BANDE KE LIYE HAI WO JO OOS NE MAANGA-
(Al-Mouta Imam Malik, Kitab
Assalat, Baab AL-Qira’at Khalf Imam- Hadis 192, jild 1 safah 95)-
Ye isliye Irshad hua k Pehli Teen
Ayaton mein “MALIK YOUM ADDEEN “tuk Allah Azz o Jall ki Khalis Hamd o Sana
hai(Yaani Ayat 1 se Ayat 3 tuk)-
Aur pichli Teen Ayaton mein(5-7 )
tuk Bande ke liye Dua hai-
Aur beech ki Ayat (Number 4) Zikre
Ibadat wo Iste’anat ( Yaani Ibadat aur Madad) Mangne ka zikr hai- “ IBADAT
MOULA TAALA KE LIYE HAI AUR MADAD TALB KARNA BANDE KA NAFA---Fatwa dene walon
ki aqal ka kya kehna-K MADAD SIRF ALLAH TAALA SE HI LENI CHAHIYE UNHEN IS HADIS
MEIN YE BAAT NAZAR NAHI AYEE KI ALLAH TAALA KHUD IS SUREH KO APNE AUR BANDON KE
BEECH AADHA AADHA TAQSEEM KIYA HAI- MADAD MAANGNE PAR BANDON KA IKHTIYAR HAI-SUBHAN
ALLAH-
AB AAP TAMAM IS SUREH KO ADHA ADHA
KARKE DEKH LEN K ALLAH AUR BANDON KE BEECH KITNI AYATEN AATI HAIN-
Ghair Khuda se Istemdaad aur Ikhtiyarat e Huzur:-
Hazrat Rabea Bin Maalik
Radi Allah Taala Anho Se Riwayat hai Ki Ek martaba mein Huzur e Aqdas SalAllaho
Alehe Wasallam Ki Khidmat mein Haazir tha , Aap ke Wazu ke liye paani lekar
haazir hua Huzur Sayyed Al-Alamain SalAllaho Alehe Wasallam ne Irshad Farmaya :
"MAANG KYA MAANGTA HAI KI HUM TUJHE ATA FARMAYEN, Arz ki mein Huzur se sawal
karta hoon ki JANNAT mein Huzur ki Rafaqat Ata ho - Farmaya Aur Kuch? Arz kiya
bas meri to Murad yahi hai - Farmaya to meri EANAT kar Apne par Kasrat e Sujood
se—(Sahih Muslim Baab Fadl AL-Sujud 1/193)
No comments:
Post a Comment