IYYAKANABUDU WA IYYAKANASTAEEN:
(Hum Teri Hee Ibadat
Karen Aur Tujh Se Madad Maangen)
Ab Tuk Allah Taala Ne Apne Inamaat, Milkiyat, aur
Jabbari Ka Zikr Farmaya-Jis Se Allah
Taala Ko Ye Maqsood hai ke Allah Kee
Makhlooq Ek Allah Ki Ataat aur Ibadat
Karen- Lehaza Ab Hukm Huwa Ki IYYA KANABUDU-Is Tarah Allah Taala Ne Apne Paanch
Naam Farmaye
1)Hum Tumhare Allah Hain.
2)Phir Tumko Paala Lehaza Tumhare Rubb Hain.
3) Tum Ne Gunah Kiye Hum Ne Chhupaye Lehaza Hum Rehman Hain.
4)Tum Ne Touba Kee Hum Ne Magfirat Farmayee Lehaza Hum Raheem
Hain.
5)Tum Hamare Qabze Mein Ho, Jaza Aur Saza Ka Din Bhi Aane
Wala Hai, Lehaza Hum Maalik Hain.
Jub Banda Allah Kee Ibadat(Namaaz Kee Halat) Kare To Oos
Waqt Apne Rubb Ko Haazir-o-Naazir Jaane Goya Mein Allah Ko Dekh Raha Hoon Aur
Allah Mujhe Dekh Raha Hai-Agar Dill Mein Zara bhi Riya Kaari Huwi Ke Zabaan Se To Keh Raha Hoon”IYYA KANABUDU”
aur Dill Mein Kisi Aur Kee Pooja, Ya Ghar se nikla Namazz padhne ko lekin
Dikhawe Ke Liye.
Namaaz Mein Kisi Ko Khitab Karke Kalam Karna Jaiz Nahi Hai Siwaye
Allah Aur Allah Ke Mehboob Salallaho Alehe Wasallam Ke(Attahiyat,Asslam Alayk
Ayyuhannabi).Sahaba Kraam Ne Ain Namaaz Kee Halat Mein Huzur Aleh Salam Ka Adab Kiya Hai-
Ibadat Ke Istelahi Maani Ye hain Ke Kisi Ko Khaliq Maan Kar
Ooski Ibadat Karna Aur Khaliq Ko Khaas Maan Kar Ooski Ataat Karna- Butt Parast
Butt Ke Saamne pooja karta hai, Musalmaan Kaabe Ke Saamne Sajdah Karta hai-
Donon Patthar-Lekin Hindu Mushrik Hai Aur Musalman Mowahid. Hindu Raam Chandra,
Krishna Ko Maanta Hai , Hum Rasool, Nabi , Auliyaon Ko, Phir Kya Wajah Hai Ke
Hindu Mushrik Aur Hum Mowahid.Farq yahi hai ki Hindu Uloohiyat Mein Butt Ko
Khuda Maanta Hai Aur Hum Anbiya, Rasool, Auliyaon Ko Allah Ke Khaas Bnade.
Ibadat Kee Kayee Qismen Hain-Namaaz, Roza, Zakaat, Hajj, Aur
Jo Jaiz Kaam Bhi Rubb Ko Raazi Karne Ke Liye Kiye jayen Woh Ibadat hai. Yahan
Tuk Ke Apne Ahl- o- Ayal par kharch, Raaton Mein Sona, Ya Jaag Kar Allah Paak
Ka Zikr Karna. IN Sabhi Nayk Amal Mein Sawab Milta hai.
Akele Aur Ba-Jamaat Se Namaaz:
Jub Banda Allah Kee Ibadat Akele Kare To Ye Samajh Kar Kare
ke Mujh se pehle bahut se Nayk Bande Is Amal Ko Kar Gaye Aur Ab Bhee Kar Rahe
Hongen, Mein Apne Ko Oon Mein Shaamil Karta hoon. Yaani IYYA KANABUDU” Ek Kehne
Wala Bhi Hoga Aur Ba-Jamaat Namaaz Padhne Wale Bhi- Ye Bazahir To Lafz Akela
Maaloom Hota Hai Lekin Haqiqat Mein
Bahut Son Ke Saath hai. Isi Liye Baghair Jamaat Ibadat Naaqis Hoti hai.
Agar Ibadat Jannat Paane aur Dozakh Se Bachne Ke liye Kee
Gayee To Ibadat Na Huwi Tijarat Huwi- Isi Liye Farmaya”IYYAK-A-NABUDU” YAANI
HAMARI IBADAT SE MAQSOOD TERI ZAAT HEE
HAI. Isi wajah se namaaz ki niyaat mein waste allah taala ke liye kaha jaata
hai.
IBADAT KEE ROOH:-
Insaan guroor(Dhoka) se Suroor(Khushi) Ki taraf Muntaqil ho
jaye. Dunya Ki Tariqi se Nikal Kar Haqq Ke Noor aur Mushahede Jamaal Mein Pahunch jaye.Ibadat Dunyawi
Taklifon Ka Ilaaj Hai, Lehaza Jis Ibadat Mein Ye Baat Na Ho Woh bejaan hai.Agar Namaaz Chhorne
Mein Allah Ki Raza Hai to Chhorna Ibadat Hai Aur Agar Namaaz Padhne Mein Allah
Ki Raza Hai To Padhna Ibadat Hai- Isi Liye Aftab Nikalte Waqt Namaaz Padhna
Gunah Hai. Hazrat Ali Radi Allah Taala Anho Ke liye Khaibar Ke Din Huzur
Salallaho Alehe Wasallam Kee Neend Par
Namaaz Qurban Kar dena Ain Ibadat thee.
NIYYAT AUR KAABE KI POOJA KE AITRAAZAT KA JAWAB :
Agar Musalmaan kahen Ke Hum Kaabe Ko Khuda Nahi Maante To
Hindu Bhi Moorti Ko Khuda Nahi Samajhta balki apna dhyan yaksoo rakhne ke liye
ek moorti saamne rakh leta hai.
Jawab Namaaz Kee Niyyat Mein Hee Hai- “WASTE ALLAH KE MUNH
MERA QIBLE KI TARAF”
Namaaz Allah Ke liye Aur Kaaba Simt Ke Liye-Ek Saath Tamaam
Musalmaan Ek Direction Mein Unity ke Liye-Lekin Hindu Jahan Moorti Rakh Lee
Poojari Aur Bhakton Ka Munh Oosi Taraf Sabhi Pooja Karne Wale Alag Alag
Direction Mein.Maaloom Huwa Ke Hinduon Ka Sar Moorti Ke Liye Jhuka Aur
Musalmanon Ka Sar Allah Ke Liye-IYYAKANABUDU. AAJ SE JO HAZRAAT NAMAAZ SE PEHLE
NIYYAT NA KARTE HON WOH Niyyat Zaroor Karlen.
No comments:
Post a Comment