TAFSEER SUREH AL-FATEHA---PART---
Maalik Youmiddeen (مَلِكِ
يَومِ الدّين )
Roz-e-Jaza Ka Maalik.
Imaam Ahmad Rehmat Allah Aleh
ne Al-Zohad Mein,Imaam Tirmizi, Imaam Ibn Abu Daud, Imaam Al-Anbari (Rehmahum
Allah )ne Hazrat Anas RadiAllah Taala Anho Se Riwayat kiye hai Ke Nabi e Karim
Salallaho Alehe Wasallam, Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar, Hazrat Usman Radi
Allah Taala Anhuma, Alif ke Saath Maalik Padha karte thay(Jama Tirmizi Safah
38- Jild 11-2928). Aur Sab Se Pehle Jisne Baghair Alif Ke Padha Tha Woh Morwan
tha.
Tafseer Youmiddeen: (يوم الدّين ):
Youm Arabi Mein Din Ko Kehte
hain, aur Din Hota Hai Aaftab Ki Harkat se Aur Qayamat Ke Din Aftab Ki Harkat
Na hogi. Deen Ke Do Maani hain Ek Badla Faisla aur Insaaf aur doosra Millat.
Mazhabi Aqide Qayamat Ke Din Ko Deen Ka Din isliye kehte hain ke oos din tamaam
Deenon yaani Millaton ke faisle kiye jayenge- Deendar aur Be-Deen, Haqq aur
Baatil.
Deen Ke Maani Agar Jaza(Jaisa
Ki Ooper Likha hai)kiye jayen To Qayamt ko Youmiddeen( يومِ الدّين)
isliye kehte hain ke oos din Dunya ke tamaam Aamal ki Jaza Dee Jayegi. Dunya
Mein Achhe Bure Jaise chaho kaam karlo Yahan badla nahin lekin Wahan Badla hai
Aamal nahin.
Haqq Taala Hamesha se har cheez kaMaalik hai, Phir apne ko
Qayamat ke Din Ka Maalik Farmana Kuch Wajhon se hai.
1)
Jub
Maalik ki Azmat dikhani manzoor hoti hai To oos ki Milkiyat ko kisi bade
mamlook ki taraf nisbat ki jaati hai aur kehte hain “Shah-Hind” Shah Dehli.
Badshah ki saltanat Gaon, Qasbon , Shehron, Mulkon par hoti hai. Isi Liye Allah
Taala Ko Rubb-e-Kaaba Aur Rub-e-Muhammad(Salallaho Alehe Wasallam) naam se bhi Pukara
jaata hai.
2)
Dunya
mein aur bhi Aarzi(Temporary) Maalik hain Jaise Hindustaan Ka Maalik,
Paakistaan Ka Maalik, Falaan Jagah Ka Maalik,Jaapan Ka Badsha, Waghaira
Waghaira,Lekin Qayamat Ka Din Wo Din
hoga jubke koi bhi kisi bhi cheez ka zaaheri Maalik bhi na hoga (لمن الملك اليوم) “AAJ KISKA MULK HAI-YA AAJ KAUN MAALIK HAI?”Oos waqt koi
is sawal ka jawab dene wala bhi na hoga. Allah Taala Khud hi jawab mein Irshaad
Farmayega(لله واحد القهّار) Is Qaide Se
Qayamat keDin ki azmat aur haibat zaahir hoti hai. Ke Woh Khuda ka Din hai Isi
Din ki haibat(Durr) logon se Nayk kaam karati hai aur Boore kaamon se bachati
hai.
Aaryaon ka aqida :
Dunya hi Amal aur Jaza Ki
Jagah hai. Arya kehte hain ke Jo Insaan Boore kaam karta hai woh Marne ke baad
Boore JIVAN mein aata hai, aur ache kaam karne wala ache JIVAN mein . Jis Qadar
Jaanwar Waghaira hain pehle Insaan hi thay aur apne bud Amali Ki wajah se In JIVANON mein aaye. Ek Aitraaz yahan par ye
hota hai ki Jub Insaan Apne Boore aamal ki wajah se Janwar Bun Gaye hain phir Bail
ki Qurbaani Par Aitraaz Kaisa?
Aaj ek shakhsh Faqir hai,
Aryaon Ke Qaide Ke Mutabiq Woh Pehle Jivan mein kisi ache Haal mein Zindagi
guzar gaya tha Apne Bud Aamal ki wajah se ab Faqir bana kar Doosre Jivan mein
bheja gaya jub oose yaad hi na raha ke pehle mein kya tha? Oos Waqt mein ne kya
kiya tha?Kis Aish Mein tha Kya Bud aamali kee? AurAb Is Jivan mein Kis Amal Ki
Saza hai? To oose Is Faqiri mein Taklif hi kya hogi?Woh to apni Faqiri hi mein
khoosh aur Must hai. Agar ye Aqida Sahi
Hota To Dunya Mein Jaandaron Ki Taadad(QuantitY) Mein Wazan(Balance) Qaim
rehta. Insaan badhtey to Doosre Jaanwar Ghat-te, Aur Agar Insaan Ghat-te to
Jaanwar Badhte.
Ek Aitraaz Yahan Par Paida
Hota hai Ke Jub Khuda Taala Roz-e-Jaza Ka maalik hai To Khuda ke siwa Nabiyon
Auliya Allah Ko Shafee Manna aur oonko is din hajat rawan manna shirk hai aur
is ayat ke khilaf hai.
Woh Allah Ke Pyare hain oonki
Baat wahan sooni jayegi. Agar Woh Maalik Haqiqi hote to Phir “SHIFA’AT” ke kya
maani huwey aur iska zikr hi na hota.
No comments:
Post a Comment