Thursday, October 1, 2015

Maalik Youmiddeen

Tafseer Sureh Al-Fateha:

Maalik Youmiddeen (مَلِكِ يَومِ الدّين   )
ROZ-e-JAZA KA MAALIK.
Is Se Pehle Allah Ki Rabubiyat aur Rehmat Ka Zikr huwa. Jis Se Soon-ne Wale Ke Dill Mein Allah Ki Rabubiyat Ooski Rehmat se Ummid Paida Ho Rehmat Ka Darya Moujen Mare. Phir Allah Taala ne Zaroorat Samjhi Ke Insanon Ke Dilon Mein Ooska Khouf Paida Kiya jaye. Imaan Ummid Aur Khouf Ke Darmyan hai. Isliye Apne Maalik hone aur Apne Ghalbe Ka Zikr Farmaya.
Isaiyon Ka Aqida hai ke Dunya Mein kaise hi Gunah Karlo koi saza nahi milegi. Kyunki Isa Aleh Salaam Ki Sooli(Maaz Allah ) Sab ka KUFFARA bun gayee.Unhen Rehmat Ka Yaqeen ho Gaya Gazab se be-khouf hokar GUNAH par dilayr ho gaye.
Aaryaon Ka Aqida hai Ki Kisi Gunah Ki Maafi nahi ho sakti, Ooski Saza zaroor Bhugatni padegi, Ye Allah Ki Rehmat se Mayoos huwey  aur Gunah par Dilayr huwe.Kyunki Na-Ummidi Gunah par Dilayr karti hai.
Insaan Gunah se Oosi Waqt Buch Sakta hai jub Oosko Apne Moula ke gazab ka Darr aur ooski Rehmat ki Ummid ho.Isliye Rehmaton Ke Zikr Ke baad Allah Taala ne apni JABBARI Ka Zikr Farmaya.
Qariyon Me Is Ayat Ke Lafz”MAALIK” ko padhne mein ikhtelaf hai.Kuch ise MAALIK(مالك ) padhte hain Kuch Ise MALIK(ملك).Malik Ke Lafzi maani hai Talluq, Mazbooti,Badsha ko Malik Kehte hain. Aur MAALIK padhne wale kehte hain ise chand wajhon(Reasons) se MAALIK Padhna chahiye.
1)MAALIK Mein Chaar Huruf hain aur Malik mein Teen aur Quran Paak ke Ek Huruf par Dus(10) Nekiyan milti hain.
2) Maalik Ki Milkiyat Malik(Badshah ) Ki Milkiyat se badi hoti hai. Badshah Ko Riaya kabhi bhi nikaal sakti hai.Badshah Riaya ka Mohtaj bhi hota hai Riaya isi liye kehte hain ke Badshah Ko baaz Riaya ki Riayat karni padti hai.
3) Riaya apne aap ko Badshah ki hukumat se nikaal sakti hai.
4) Mamlook Apni Marzi se MAALIK ki Milkiyat se nahi nikal sakta.
5)Mamlook apne MAALIK ke baghair Ijazat koi kaam nahi kar sakra , lekin Riaya Badshah ki ijazat ke mohtaaj nahi.
6)Mamlook(Ghulam) Apna khana kapda zarooryat ki har cheez apne MAALIK se maangta hai. Hum bhi Apne MAALIK Allah Taala Se har cheez maangte hain. Lekin Badshah(Malik) Apni Riaya se TAX ka mohtaaj Oonki Khidmat ka mohtaaj(FOUJ).Jawanon ko Fouj mein bharti karta hai , Beemaron Kamzoron ko Nahi.Lekin Maalik Apne Kamzor aur Beemar Ghulam ka Ilaaj karata hai, Budhape mein ooski MADAD karta hai.  

7) Badshahat mein HAIBAT(Durr, Zehmat) hai aur Milkiyat mein REHMAT, isi liye Haqq Taala apne Bandon par RAHEEM-o-KAREEM hai(Tafseer Kabir)-In wajhon se MAALIK padhna behtar hai.

No comments:

Post a Comment