BAHUT MAHERBAAN REHMAT WALA.
Is Jumle Mein Allah Paak Ka Farmaan hai ki Woh Jahan Rubb
Al-Alamein hai Yaani Donon Jahanon ka Paalne Wala , Woh Paalne par Majboor nahi
hai Balki Apni Rehmat se Paalta hai. Doosra Paalta hai Rehmat ke saath kabhi
Qaher ke saath. Teesra Hamd ka Rehmat ke saath talluq is tarah hai ke Jo Allah
Paak Ki Hamd Karta hai Oose Allah Taala Apni Rehmat se paalta hai. Yahan Rehman
ke Maani yahi hai ki Is Qism ki Rehmat Farmane wala jo Bandon se(ya Kisi
Makhlooq se) haasil na ho.
Mushrekin Ka Aqida tha ke Badi Badi Neamaten Rubb deta hai
aur Chhoti Chhoti BUTT. Is Aqide ki bhi ismen Tardid(Rudd) ho gayee Ki Badi
Neamat bhi Aur Chhoti Neamat Bhi Wahi ata karta hai isi liye Rehman bhi hai aur
Rahim bhi.
ARYAON KA AITRAAZ:
Khuda Paak Rehmaan aur Rahim hai to Dozakh, Mozi Cheezon ko
aur Shaitaan ko kyun banaya?
Jo Museebat Kisi Rehmat ka zareea bun jaye Wo Haqiqat mein
Rehmat hi hai, Jaisa ke Rubb Al-Alamein mein Bayan ho chuka hai. Agar Taklif da
cheezen paida na hoti to hamari rooh aur jism ko poori Taharat haasil na
hoti.Namaaz , Roza, Hajj Zakaat ye sab Ba-Zaahir Taklif da Amal Maaloom hote
hain lekin haqiqat mein ye Rooh ko paak
karne waleAamal hain.Mailey LOHE ko Lohaar Bhatti mein rakh kar koot-ta peet-ta
hai to wo museebat paakar zung waghaira se saaf ho jaata hai. Sona(Gold)
Nihayat Qeemti Dhaat hai Lekin jub tuk
Sonaar ki bhatti mein na rakha jaye aur sonaar ke hathon chot na khaye aurton
ki zeenat na baney.
Isi Tarah Taklif da Zehrili cheezen hazaaron badi badi
museebaton ko door kar detey hain. Bahut si aisi cheezen hain jise hum Rehmat
samajhte hain lekin haqiqat mein wo zehmat hoti hai. Aur jise hum Zehmat
samajhte hain woh Rehmat ho. Mushaqqat aur Taklif mein Rehmat Ilaahi aur ataye
Ilaahi chhupi hoti hai.Isi tarah Shaitan ko paida karne mein bhi yahi hikmat
hai ke Mukhlis aur ghair Mukhlis mein tameez paida ho.Bas Haqiqat ko dhyan mein
rakhe jaisa ki Hazrat Musa Aleh Salam aur Khizr Aleh Salam ke Qisse mein bayan
huwa hai.
REHMAN AUR RAHIM KE MAANI:
Rehmat Oos Riqqat-e-Qalb(Dill Ki Narmi) ko kehtey hain jis
ka taqaza ye hai ke Marhom pe Ehsaan kiya jaye. Ye Lafz(Word) Kabhi Riqqat(Narmi)
ke maani mein istemal hota hai kabhi Ehsaan ke Maani.
Jub Rehmat Allah Taala ki Sifat ho to phir iska maani Sirf
Ehsaan hai na ke Riqqat-e-Qalb(Dill ke Narmi-jaise Rahem dili). Aur Jub Rehmat
Aadmiyon ki Sifat ho to iske maani huey Riqqat aur Shafqat.(Yaani Narmi aur
Shafqat).
Rehman ka itlaq (Istemaal )Allah Taala ke siwa kisi aur par
karna jaiz nahi kyunki Rehman ke maani hain Wo Zaat jiski Rehmat Har Cheez ko
Muheet ho.Aur Rahim Ka Itlaq Allah ke Alawa Aur ke liye bhi ho sakta hai. Jaise
RAHIM Allah Taala par bhi hai aur Rasool Allah Salallaho Alehe Wasallam par
bhi.
“BESHAK ALLAH TAALA LOGON PAR NIHAYAT MAHERBAN AUR BAHUT
RAHEM FARMANE WALA HAI” (AL-HAJJ—65)-
“BESHAK TUMHARE PAAS TUMHI MEIN SE EK RASOOL AAYE, JINPAR
TUMHARA MUSHAQQAT MEIN MUBTELA HONA SAKHT DUSHWAR HAI, WOH TUMHARI BHALAYEE PAR
BAHUT HAREES HAIN , AUR MOMINON PAR NIHAYAT MAHERBAN AUR BAHUT RAHEM FARMANE WALE HAIN.(AL-TOUBA—128)-
No comments:
Post a Comment