Is Ka Taalluq HAMD se hei. Alhamdulillah Mein Daawa hai ki Sab Taarifen Allah hi ki hain. Rubbil Alamein mein wajah batayee gayee hai. Saari Taarifen Allah ke liye hi hai Kyunki woh Tamaam jahanon ka paalne wala hai. Jo jahanon ka paalne wala hai wahi taarif ke laiq bhi hai.
RUBB Ki Hamd karne wale Chaar(4) Qism ke log hain:
1)Jo Sirf Rubb ko Raazi karne ke liye Rubb ki Hamd karen aur koi nafa oonki nazar mein na ho, Jaise Hazraat Anbiya Alehum Assalam, aur Auliya Allah.
2)Doosre woh jo apne par Rubb ke beshumaar Ehsanat dekhkar ooski Hamd karen, jaise Aam Shukr Guzaar Bande.
3)Teesre woh jo Aayenda Rehmat ki ummid par ooski Hamd karen jaise Aam Gunahgaar Ummidwar Bande.
4)Chouthay woh jo Rubb ki haibat o Jalalat se darkar ooski Hamd karen..
Pehle Groh ke liye Farmaya Gaya Alhamdulillah.
Doosre Groh ke liye Farmaya "Rubb Al Alamein. Kyunki woh tum ko barabar paal raha hai.
Teesre Groh ke liye Farmaya Gaya" Arrehmanirrahim". Chunki woh tum par ainda bhi rahem farmayega.
Chouthay Groh ke liye farmaya gaya " Maalik Youmeddin". Kyunki Woh Shahensha hai Tamaam Jahan ka har tarah tum pe qudrat rakhta hai, Oos se daro aur ooski HAMD karo.
RUUB Ke maani hain Paalne Wala aur Maalik. Maalik isliye ke Saare jahanon ka Maalik hona, Hamesha se maalik hona, Hamesha tuk Maalik rehna. Har tarah Maalik hona, Haqiqi Maalik hona, Ye Khaas Haq Taala hi ki Sifat hai,Jis kisi ko oosne Milkiyat Ata Farmayee Woh Mehdood(Limited) hai,Kisi khaas Waqtt se hai kisi Khaas waqt tuk ke liye hai, Kisi khaas haisiyat se hai aur Rubb ki Ata se hai.
Aap apne janwar ke maalik hain, apne mulk ke maalik hain, apni jaidad zameen ke maalik hain,lekin ooski har cheez ke maalik nahin,Na hamesha se maalik thay aur na hamesha maalik rahengen.
Paalne wale se murad Kis ko paalne wala? Kub se paalne wala? Kub Tuk Paalne waala?aur kis tarah paalne wala? Is se zaahir hua ke Jub se Aalam hai aur jub tuk rahega, har tarah se paalne wala,
Iske Baraks Dunyawi Paalanharon ki Tarbiyat is tarah shuru hoti hai ke woh cheez pehle bunkar aajaye, aur bahut jald khatm bhi ho jaati hai.Aur har ek ko koi nahi paalta. Jaise Dunya mein Sab se bade paalne wale Waledain maane gaye hain Doosron ki Tarbiyat oonse kahin kum hain.
Jub Bachcha Baap ki peeth se Nutfa bankar Maan ke rahem mein aaye aur Parwarish paaye, Oosmen Rooh paida ho aur jub tuk paida na ho Maan se ooski parwarish ka koi talluq nahi hota,
Jub Paida ho gaya to Rubb hi ne Maan ke Seene se Doodh ki nehren jaari kardi.Maan ne bachche ke payt mein doodh daalkar phir be-talluq ho gayee,Maddey(Stomach) mein jakar ghiza ka hazam hona aur bachche ka palna badhna is se maan ka koi talluq nahi.Phir Doodh ka bahana bhi do saal tuk. Phir bachcha jaise jaise badhta gaya maan ki parwarish ghat-ti gayee aur bachcha jawan hua maan baap boodhe ho gaye to maamla ulat gaya ab maan baap bachchey ke mohtaaj huey.Maan khidmat ki mohtaaj aur bachche khidmat gaar. Agar isi douraan bachcha murr gaya to maan baap se kisi bhi tarah ka zaaheri talluq nahi raha.
Qurbaan oos Rubb Al-Alamein ke jo kisi ka mohtaaj nahi jo Bachpan, jawani budhapa,Tandrusti, Beemari har haal mein har shai ko paale phir iska Moawaza ( Ajar) Talb na kare Wahi Rubb Al-Alamein kehlane ka mustahiq hai. Paak hai woh Jisne Haddi(Kaan) se Soonaya, Charbi (Aankh) se dikhaya, Gosht ( Zaban) se Bolne ki taqat ata farmayee. Phir in cheezon ko Qism Qism ke Daanon aur Phalon Sabziyon Halal Janwaron ke Gosht se Parwarish farmaya.
Darakhton pedh poudon mein chalne ki taqat na thi to oonke liye baaghbaan ko khidmat ke liye muqarrar kiya. Jo oonke liye Khaad pahunchaya, paani se seencha. Parinodon ko subah bhooka uthaya shaam mein ghonslon mein payt bhara soolaya. Jabki oonmein kamane ki taqat nahi thi.
Chunanche Rubb Ki taarif se zaahir huwa ki Rubb wo hai jo na kisi ka Mohtaaj hai, Jo na kabhi Fana howe, Jise na kisi ki Madad ki zaroorat pade. Insaan, Janwar, Pedh Poudhe ye Sab Fana hone wali shai(Cheezen) hain Jo Maaz Allah na Rubb Ke Qabil hai na Rub Kahelwane ke. Lehaza isi liye Ibadat ka Mustahiq bhi Wahi Ek Allah Ki Zaat huwi. Isi Liye Khaliq aur Makhlooq ki Parwarish mein farq hai-Khaliq bina kisi gharaz ke sab ko paalta hai, aur Makhlooq apni gharz poori karne ke liye kisi shai ko paalta hai.
Aaryaon Ke Aitraazat:
1)Agar Rubb waqayee mein sab ka paalne wala hai to MUSALMANON ke hathon qatl kyun karwata hai? Rubb ka kaam hai paalna na ke Maarna.
Jawab:Kisan ke khet mein Fasal ke saath kuch khoobsoorat ghaas bhi oog aati hai jo dekhne mein bhali maaloom hoti hai, magar Kissan jaanta hai is se Khet barbaad ho jayega ise judd se ukhad baher phenkna hi sahi hai.
2)RUBB ka kaam Apne bandon ki parwarish karna hai , taklifon se bachana hai phir woh apne bandon ko taklif kyun deta hai, jaise beemari, gharibi waghaira?
Jawab:Ismen Allah tala ne donon ke liye Dunya mein Imtehaan rakha hai. Ameer Apne Maal Se Zakat ada kare. Ghareeb Sabar aur shukr kare har haal mein jaisa ki ALhamd ki Tafsir mein bayan huwa. Beemari Se Gunah Jhad jaate hain. Sihatmand Beemar ko dekhkar Allah Tala Ka Shukr Ada kare,
3)Rubb Taala Agar Rubb Al-Alamein hai to Bandon ki har dua qubool kyun nahi farmata?
Jawab:Nasamajh Bachcha Baap se Shahed maangta hai Lekin baap ko maaloom hai ki shahed bachche ke liye nuqsaan hai, Bewaqoof Beemaar Hakim se khush zaiqa Dawa mangta hai aur hakim oose Kadwi dawa deta hai to ye baap aur hakim donon ka oonpar karam hai-Rubb Taala chunki Alim o Khabir hai ooska dua ko qubool na farmana ain karam hai na ki Zulm.
4)Rubb ka maani hai Paalne waala to chahiye ki sab ko paale hi kisi ko mout na de?
Jawab:Zindagi ek kheti hai aur Mout ooski Katayee.Khet ka kaatna darasl Khet ki Parwarish ki takmil hai.Insaan ki Zindagi ooske Kamayee ka waqt hai aur mout Phal paane ka waqt hai.Mout se Haqq Taala ka Qurb haasil hota hai.
Muslim Firqa Paraston ka Aitraaz:-
Jub Haqq Taala Ruub Al-Alamein hai to chahiye ki oosi se saari haajatenMaangi jaayen.Jo log Khuda ko chhor kar Nabiyon Waliyon se Hajaten maangte hain Woh Haqq Taala ko Rubb Al-Alamein nahi maante?
Allah taala ne Maangne ke liye Darwaze Muqarrar kiye hain. Oon Darwazon par maangna Darasl Allah se hi maangna hai.
I)Shifaa lene Hakim ke paas pahunche.
II) Insaaf lene Haakim ke Darwaze par khade.
III) Ilm haasil karne Darool Uloom pahunchen.
IV)Kya Allah Paak ne Isi liye Aalim banaya? To phir Ilm Haasil karne ke liye Aalimon ka mohtaaj kyun?