Friday, September 18, 2015

Alhamdulillah

Alhamdulillahe Rubbil Alamein:

Sab Taareef Allah Ke Liye Jo Maalik Saare Jahanon Ka:
Is Sureh ko pehla rakhne ki Wajah-
Ek Hazrat Adam Aleh Salam Ko Paida Hote hi Chheenk Ayee- Aap ne Farmaya "ALHAMDULILLAHe RUBBIL ALAMEIN"- Isi liye hum ko bhi hukm hai ke chheenk kar ye padhe aur soon-ne wala ye jawab de"YARHAMAKUM ALLAH", phir chheenkne wala dobara ye jawab de"YAHDINKUM ALLAH WA YASLAH HAALKUM"-Ye Pehla Kalima hai jo Hazrat Insaan Ke Munh se nikla-Rubb Taala ne apne Kalaam ko bhi isi se shuru farmaya.
Doosre ye ke Alhamdulillah mein Aath (8) Huruf hain Aur Jannat Ke darwaze bhi Aath(8) hain.To Jo Shakhsh safayee Qalb se(Teh Dill Se) Ise padhega Woh Insha Allah Jannat ke Aathon Darwazon ka Mustahiq Hoga-
Teesre ye ki Ibadat ki jaan Allah Taala ki Taarif hai, Isi ko Quran Karim ne pehle Bayan kiya. Chouthay ye ki Ismen Musalmanon ko Sabaq hai ke apna har kaam Khuda ki Hamd se shuru kiya karen kyunki Rubb Taala ki Kitaab bhi isi se shuru hoti hai. Panchwen jub Kisi Badshah se kuch Arz karna hota hai to pehle ooski Taarif kee jaati hai chunki Sureh Fateha mein Bandon ko Dua Sikhayee gayee hai isi liye ise HAMD se shuru kiya gaya.
AlHAMD Mein Teen Kalime hain "ALIF-LAAM",(Al) "HAMD", "LILLAH".Allah Ke Liye Hamd Ka Aam Hona AlifLaam se Haasil hua. Haamid ke aam hone se HAMD ka Umoom(Plural of Aam) Haasil huwa.Aur Ism Allah se Hameshgi(forever) maaloom hui. To Ab Alhamdulillah Ka maqsad ye hua ke "KOI BHI TAARIF KARE, KISI HAALAT MEIN KARE,SAB TAARIFEN ALLAH HI KI HUI. IS TARAH KE AGAR RUBB KI TAARIF KARO TO ZAHIRAN WO TAARIF BILA WASTA RUBB KI HI TAARIF HAI. Aur agar kisi Makhlooq ki taarif karo Maslan Allah Ke Wali, Chaand, Suraj to Bil-Wasta RUBB ki hi Taarif hai kyunki cheez ki taarif haqiqatan banane wale ki Taarif hoti hai-(Rooh Al-Bayan--Tafsir Naeemi)-
Isi Tarah Khuda Ki Neamat Milne par ooska shukr ada karna aur takaalif aane par Sabar karna ye bhi Rubb Taala ki Taarif hai. Bandon ko Chahiye ke har haal mein Allah ki Taarif kare-Neamat Mein isliye Taarif kare ki Khuda Ke Fazl ka Shukriya hai- Aur Takalif mein isliye Hamd kare ki jo Taklif hamen aayee hai wo hamare Gunah ki wajah se Aayee hai. Jub Gunah Mit jayega Taklif apne aap jaati rahegi.Ye hui har haalat ki hamd.
Tandrusti ki Hamd ye hai ki Ismen Rubb Ki Ibadat kare, Beemaron ki Teemardaari, aur be Dast-o-Paa(Langde loolon) ki Khidmat kare.Maal ka shukr aur Hamd ye hai ki is se Ghareebon ki madad kare. Isi Tarah Jism ke har Uzoo Se Allah Pak Ki taarif hai .Alhamdulillah mein do ahetmal(Qanooni Rou Se Qayas) hain Ek Ooper Bayan hua jise ISTEGHRAQI kehte hain jis ke maani hain har hamd har zamane mein har haal mein har hamd karne wale ke saath hai. Doosra ahetmal ye hai ki Alif Laam Ohadi ho , to iske maani ye huwe ki wo khaas Hamd Allah Ki hai, yaani khaas Hamd Allah ke haan maqbool hai-Jo Allah ke Mehboob Salallaho ALehe Wasallam ne apne Rubb ki kee. Ya Aap ke batane se koi aur kare"ISLIYE AAP KA ISM SHARIF HAI"AHMAD" Yaani Rub ki bahut Hamd karne wale aur Rub ka naam hai "MEHMOOD" Yaani apne pyare ka Hamd kiya hua.