Tafsir:-
Imaam Maalik Ne Mouta Mein, Ibn Abi Shayba aur Ahmad ne Apni Musnad Mein Bukhari ne Juz AL-Qiraat mein Muslim ne apni Sahih mein Abu Daood, Nasai, Tirmidi, Ibn Majjah Ibn Jareer,Ibn Habban , Dar Qutni, Aur Bayhaqi ne Al-sunan mein Hazrat Abu Huraira Radi Allah Taala anho se Riwayat Farmaya hai ke Rasool Allah Salallaho alehe Wasallam ne Farmaya Jis ne koi Namaaz padhi aur oosmen Umm Al-Quran na padhi to woh Namaaz na mukammal hai, woh namukammal hai, woh na mukammal hai- Teen martaba farmaya-
Abu Al-Saib farmate hain mein ne Abu Huraira(Radi Allah Taala Anho) se arz kee kabhi mein Imaam ke pechhe namaaz padh raha hota hoon kya oos waqt bhi Fateha padhni hai-Unhon ne mere baazoo ko harkat dee aur kaha ai Faarsi! Oos waqt Dill mein padha kar Mein ne Rasool Allah Salallaho alehe Wasallam ko ye Farmate soona hai ke Allah Taala Farmata hai ke mein ne Namaaz ko Apne aur apne Bandon ke darmyan nisf nisf Taqseem kiya hai- Namaaz ka Nisf mere liye hai aur Namaaz ka nisf mere bande ke liye hai, aur mere Bande ke liye woh hai jo woh sawal karta hai- Rasool Allah Salallaho alehe Wasallam ne farmaya padho:
*Banda Kehta Hai Alhamdulillahe Rubbil Alameen.
*Allah Taala Farmata hai Mere Bande ne Meri Hamd Bayan Kee.
*Jub Banda kehta hai Arrehmanirrahim.
* Allah Taala Farmata hai Bande Ne Meri Sana Bayan kee.
*Jub Banda kehta hai Maalik Youmiddin.
* Allah Taala Farmata hai Bande ne meri Buzurgi Bayan kee.
*Jub Banda kehta hai Iyya Kanabudu Wa Iyya Kanastaeen.
*Allah Taala Farmata hai Ye Mere Aur Mere Bande ke Darmyan Nisf Nisf hai, is soorat ka aakhri hissa mere bande ke liye hai aur ooske liye wahi hai jo oosne maanga- (Tafsir Durr-e-Mansoor Jild Awwal-Hadis Imam Mouta)-
FAIDA:-
Tafsir Ibn Abbas ( Radi Allah Taala Anhuma) Mein Darj hai-Isteanat ki Do(2) Qismen hain:-
1) Ek Bilzaat yaani Kisi ko Qadir Mutlaq wa Mustaqil Hajat Rawa wa Mushkil Kusha Samajh kar madad maangna. Aisi Madad Allah Taala se Makhsoos hai Kisi Makhlooq ko aisa samajhna Kufr-o- SHIRK hai.
2)Madad ki doosri Qism Bil-Wasta hai Yani kisi ko Allah Taala ki Makhlooq aur Rehmat ka zareea wa Wasila wa Mazhar-e-Ilaahi samajh kar madad maangna , ye Jaiz hai- Kyunki Anbiya Alehum Assalam Hayat-e-Haqiqi ke Saath aur Shohda aur Auliya Azzam Hayat-e-Barzakhi ke saath Zinda hain -Jaisa ke Quran o Karim ki Ayat aur Hadis Sharif se Saabit hai-Ya Asbab Zaheri ke zariye kisi se madad maangi jaaye ye bhi jaiz hai-Quran Karim mein hai-"Ta'awanu Ala al-Birr wa-altaqwa"-(taawanu alalbirr Wattaqwa)-Neki aur parhezgari ke kaamon mein ek doosre ki madad karo-"Ya Ayyuhallazina Aamanu Koonu Ansar Allah" Ai Imaan walo! Allah ke Deen ke Madad Gaar ho jao"-
Hazrat Isa ALeh Salam ne Farmaya"Min Ansari Ila-Allah"-Allah Ke Deen Mein Kaun Meri Madad Karta hai-Hawariyun ne kaha"Hum Allah Ke Deen Ke Madad Gaar Hain"-
Hazrat Zul-Qarnain ne logon se kaha "Aeenooni Biquwat"-Apni Quwat se meri madad karo-
Hazrat Isa ALeh Salam ne Farmaya"Min Ansari Ila-Allah"-Allah Ke Deen Mein Kaun Meri Madad Karta hai-Hawariyun ne kaha"Hum Allah Ke Deen Ke Madad Gaar Hain"-
Hazrat Zul-Qarnain ne logon se kaha "Aeenooni Biquwat"-Apni Quwat se meri madad karo-