Sureh Al-Fateha Makkiyah Hai Ismen Saat Aayaten Aur Ek(1) Ruku'a Hai-
*********************************************************************************
Bismillah Irrehmanirrahim
Alhamdulillahe Rabbil-aalameen (1) Arrahmanirrahim (2) Maalike Youmiddeen (3)Iyya Kanabudu Wa Iyya Kanastaeen(4)Ehdinas-sirat-Al-Mustaqeem(5) Sirat Al-Lazina Anamta Alaihim(6)Ghairil Maghdube Alaihim Walad-Da'alleen(7) - Ameen-

Sureh Al-Fateha Ke Kul Bees(20) Naam Hain:-
- Fateha
- Fateha Al-Kitaab
- Umm-Al-Quran
- Surat-Al-Kanz
- Surat Wafiya
- Surat Kaafiya
- Surat Shafiya
- Surat Shafa'a
- Saba'a Masani
- Sureh Noor
- Sureh Raqiya
- Sureh Al-Hamd
- Sureh Dua
- Sureh Taalim Al-Mas'ala
- Sureh Manajaat
- Sureh Tafwid
- Sureh Sawal
- Sureh Umm-Al-Kitab
- Sureh Fatehat ul Kitaab
- Sureh Salawat
Is Sureh Mein Saat(7) Ayaten , Sattawis (27) Kalime, aur Ek Sou Chaalis(140) Huruf Hain-
Is Sureh Ki Wajah Tasmiya (Fateha Al-Kitab) isliye kehte hain ke is sureh se Quran Paak Ko Shuru Kiya jaata hai-Ke Iske Awwal Mein Lafz HAMD aata hai -
Umm Al-Quran Isliye kehte hain ke "UMM" Ke Maani hain ASL ke aur ye Sureh Saare Quran Paak Ki Asl hai- Isliye ke Jis Qadr Mazameen(Topics) Saare Quran Sharif mein Tafseel Waar hain , Woh Sab Yahan aa gaye hain-
Umm Al-Kitab isliye kehte hain ke Saari Aasmani Kitabon Ke Saare Mazameen is men aa gaye hain-Aqaid-o-Aaamal,nez Khuda ki Zaat o Sifaat, ooski Maaboodiyat, ooski Be-Niyazi,, Bande Ki Abdiyat,Niyazmandi, tamaam ismen moujud hain-
Saba'a Masani isliye kehte hain ke is Lafz ke maani hain Saat Mukarrar Aayaten- Kyunki IsmenSaat Ayaten hain aur ye do baar naazil hui -Nez Namaaz mein har Raka'at mein is Sureh ki Takraar hoti hai- Aadhi Sureh Mein Rubb Ki Sana'a hai aur baaqi Aadhe mein Bande ki Arz o maaruz- To Goya Aadhi Khaliq ke liye hai aur Aadhi Makhlooq ke liye, Lehaza Saba'a Masani Naam hua- Istarah ki Sureh Kisi aur Aasmani Kitaab mein na aayee- Sureh Fateha ka sawab Quran Ke Satwen Hisse Ke Barabar Hai- Lehaza Jo Ise Saat Baar Padh Le Woh Poore Quran Ka Sawab Paayega-Iski Aayaten Saat hain- Dozakh Ke Darwaze bhi Saat hain - Jo Shakhsh Is Sureh Ke Padhne Ka Paband Hoga Insha Allah Oos par Dozakh Ke saat Darwaze Bund hojayengen-
Hadis Sharif mein hai ke Ek Baar Hazrat Jibrail Aleh Salam ne Bargah-e-Nabuat Salallaho Alehe Wasallam Mein Arz Kiya ke Mein Aap ki Ummat par Dozakh Ke Azaab Ka khouf Karta tha, jub Sureh Fateha Naazil hui to Itmenaan ho gaya kyunki ye aayaten jahannum ke saat tabqon ka Qufl(Taala) hai- (Tafseer Kabir)-
Sureh Wafiyah Iske Maani poori hone Wali- Is Sureh mein ye khususiyat hai ke har Raka'at mein poori padhi jaati hai doosri suraton mein agar do rakaaton mein aadhi aadhi padhi jaye to jaiz hota hai-
Sureh Kaafiyah Isliye kehte hain ke ye doosri surton ke badle kaafi hoti hai-Lekin aur koi Sureh iska badal nahi ho sakti-
Sureh Shafiya Isliye kehte hain ke ye Zaher aur Sadha Qism ki bimariyon ka ilaaj hai- Ek Sahabi ne dekha ek Aadmi Mirgi ke Doure mein giraftar hai to ooske Kaan mein ye Sureh Padh de aur oosko aaram ho gaya-Huzur Salallaho Alehe Wasallam Ki Khidmat mein ye waqeya Arz Kiya to Farmaya ye sureh har beemari ki dawa hai, nez ye sureh Jismaani aur Roohani tamaam beemariyon ka Ilaaj hai-
Sureh Salawat Isliye kehte hain ke Iska Padhna har Namaaz Mein Zaroori hai.
Sureh Sawaal Isliye kehte hain ke ismen Bandon Ko Haqq Taala se Dua Maangne ka Tariqa Bataya Gaya hai ke Jub Dua Karni hai to pehle Khudawand Taala ki Hamd Bayan Kare, apni Mohtaji aur Bandagi ka zikr kare, phir apni Hajat Arz Kare aur Dunyawi Hajat ke muqable mein Aakhirat ki Hajaten zyada maange.
Sureh Shukr aur Sureh Dua Isliye ki ismen Bandon ko Rubb Taala ka shukr karne aur Dua maangne ka tariqa sikhaya gaya hai-